is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saval 19

bible ki kitabon mein kya jaankari di gayi hai?

ibrani shastra (“purana niyam”)

pehali 5 kitabein:

utpatti, nirgaman, laivyavyavastha, ginti, vyavasthavivran

srishti se lekar pracheen israel raashtra ki shurooat tak ka byaura

itihas ki kitabein (12 kitabein):

yahoshoo, nyayiyon, root

vaada kiye gaye desh mein israeliyon ke jaane ke samay ki aur uske baad ki ghatnayen

1 aur 2 shamooel, 1 aur 2 raja, 1 aur 2 itihas

yarooshalem ke naash tak israel raashtra ka itihas

ejra, nahemayah, ester

baibilon ki bandhuai se lautne ke baad, yahoodiyon ka itihas

kavita ke roop mein likhi kitabein (5 kitabein):

ayyoob, bhajan, neetivachan, sabhopdeshak, shreshtgeet

buddhi-bhari baaton aur geeton ki kitabein

bhavishyavaniyon ki kitabein (17 kitabein):

yashayah, yirmayah, vilapgeet, yahejkel, daaniyel, hoshe, yoel, aamos, obadyah, yona, mika, nahoom, habakkook, sapanyah, haggai, jakaryah, malaki

pehale se bataya gaya tha ki parmeshvar ke logon ke saath bhavishya mein kya hoga

maseehi yoonani shastra (“naya niyam”)

khushkhabri ki chaar kitabein (4 kitabein):

matti, markus, luka, yuhanna

yeeshu ki zindagi aur seva ka byaura

preshiton ke kaam (1 kitab):

maseehi mandli ki shurooat aur mishnaree seva ka itihas

chitthiyaan (21 kitabein):

romiyon, 1 aur 2 kurinthiyon, galatiyon, ifisiyon, filippiyon, kulussiyon, 1 aur 2 thisslunikiyon

alag-alag jagah ki maseehi mandliyon ke naam chitthiyaan

1 aur 2 timuthiyus, titus, filemon

in maseehiyon ke naam likhi chitthiyaan

ibraniyon, yakub, 1 aur 2 patras, 1, 2 aur 3 yuhanna, yahooda

sabhi maseehiyon ko likhi chitthiyaan

prakashitvakya (1 kitab):

preshit yuhanna ko darshan mein di gayi bhavishyavaniyaan