saval 17
bible aapke parivar ki kaise madad kar sakti hai?
pati/pita
“isi tarah patiyon ko chahiye ki woh apni-apni patni se aise pyar karein jaise apne shareer se. jo apni patni se pyar karta hai, woh khud se pyar karta hai. isliye ki koi bhi aadmi apne shareer se kabhi nafrat nahin karta, balki woh use khilata-pilata hai aur anmol samajhta hai . . . tummein se harek apni patni se vaisa hi pyar kare jaisa woh apne aap se karta hai.”
“hey pitao, apne bachchon ko chidh mat dilao balki yahova ki marzee ke mutabik unhein sikhate aur samjhate huye unki parvarish karo.”
patni
‘patni apne pati ka gehra aadar kare.’
“hey patniyo, apne-apne pati ke adheen raho, jaisa prabhu ke chelon ko shobha deta hai.”
bachche
“bachcho, prabhu mein apne maata-pita ka kehna maannevale bano kyonki yah parmeshvar ki nazar mein sahi hai. ‘apne pita aur apni maa ka aadar karna,’ yah pehali aagya hai jiske saath yah vaada bhi kiya gaya hai: ‘taaki tera bhala ho aur tu dharti par lambee umra jeeye.’”
“bachcho, har baat mein apne maata-pita ka kehna maannevale bano kyonki prabhu isse khush hota hai.”