yuhanna ki pehali chitthi 2:1-29

  • yeeshu sulah karanevala balidan hai (1, 2)

  • uski aagyayen maanna (3-11)

    • purani aur nayi aagya (7, 8)

  • chitthi likhne ki vajah (12-14)

  • duniya se pyar mat karo (15-17)

  • maseeh ke virodhi ke baare mein chetavni (18-29)

2  mere pyare bachcho, main tumhein ye baatein isliye likh raha hoon taaki tum koi paap na karo. aur agar koi paap kar baithe, to hamare liye ek madadgar* hai jo pita ke paas hai yaani yeeshu maseeh+ jo nek hai.+  woh hamare paapon ke liye+ aisa balidan hai jo parmeshvar ke saath hamari sulah karata hai*+ aur sirf hamare paapon ke liye nahin balki saari duniya ke paapon ke liye.+  agar hum uski aagyaon ko maante rahein, to isi se hamein ehsas hota hai ki hum use jaante hain.  jo kehta hai, “main use jaan gaya hoon” aur fir bhi uski aagyayen nahin maanta, woh jhootha hai aur aise insan mein sachchai nahin hai.  magar jo koi uski aagya maanta hai, sachmuch usi insan mein parmeshvar ke liye pyar poori had tak dikhayi deta hai.+ aur isi se hum jaan paate hain ki hum uske saath ekta mein hain.+  jo kehta hai ki main uske saath ekta mein hoon uska farz banta hai ki woh khud bhi vaise hi jeeye jaise yeeshu jeeya tha.*+  pyare bhaaiyo, main tumhein jo likh raha hoon woh koi nayi aagya nahin balki vahi purani aagya hai jo tumhein pehale se mili hui hai.+ yah purani aagya woh vachan hai jo tum sun chuke ho.  fir bhi, main tumhein yahi aagya ek nayi aagya ki tarah likh raha hoon, jo maseeh ne maani thi aur tum bhi maante ho, kyonki andhkar mitta jaa raha hai aur sachchi raushni abhi se chamak rahi hai.+  jo kehta hai ki main raushni mein hoon, fir bhi apne bhaai se nafrat karta hai+ woh ab tak andhkar mein hai.+ 10  jo apne bhaai se pyar karta hai woh raushni mein hi rehta hai+ aur uske liye thokar khaane ki koi vajah nahin hoti. 11  magar jo apne bhaai se nafrat karta hai woh andhkar mein hai aur andhkar mein chal raha hai+ aur nahin jaanta ki kahaan jaa raha hai+ kyonki andhkar ne uski aankhon ko andha kar diya hai. 12  pyare bachcho, main tumhein isliye likh raha hoon kyonki uske naam ki khaatir tumhare paap maaf kiye gaye hain.+ 13  pitao, main tumhein isliye likh raha hoon kyonki tum yeeshu ko* jaan gaye ho jo shurooat se hai. javano, main tumhein isliye likh raha hoon kyonki tumne shaitan* par jeet haasil ki hai.+ bachcho, main tumhein isliye likh raha hoon kyonki tum pita ko jaan gaye ho.+ 14  pitao, main tumhein isliye likh raha hoon kyonki tum yeeshu ko* jaan gaye ho jo shurooat se hai. javano, main tumhein isliye likh raha hoon kyonki tum balvan ho+ aur parmeshvar ka vachan tummein kaayam hai+ aur tumne shaitan* par jeet haasil ki hai.+ 15  tum na to duniya se pyar karo, na hi duniya ki cheezon se.+ agar koi duniya se pyar karta hai to usmein pita ke liye pyar nahin hai.+ 16  kyonki duniya mein jo kuch hai yaani shareer ki khvahishein,+ aankhon ki khvahishein+ aur apni cheezon* ka dikhava,* woh pita ki taraf se nahin balki duniya ki taraf se hai. 17  itna hi nahin, yah duniya aur iski khvahishein mitti jaa rahi hain,+ magar jo parmeshvar ki marzee poori karta hai woh hamesha bana rahega.+ 18  pyare bachcho, yah aakhiri ghadi hai aur jaisa tum sun chuke ho maseeh ka virodhi aa raha hai,+ yahaan tak ki maseeh ke aise kai virodhi aa chuke hain.+ isse hamein pata chalta hai ki yah aakhiri ghadi hai. 19  woh hamare hi beech se nikaalkar gaye the magar woh hamare jaise nahin the.*+ agar woh hamare jaise hote to hamare saath hi rehte. magar woh nikaalkar chale gaye taaki yah saaf dikhayi de ki sab hamare jaise nahin hain.+ 20  tumhara abhishek us pavitra parmeshvar ne kiya hai,+ isliye tum sabke paas gyaan hai. 21  main tumhein isliye nahin likh raha ki tum sachchai nahin jaante,+ balki isliye ki tum sachchai jaante ho aur isliye bhi ki sachchai se kisi tarah ka jhooth nahin paayenge.+ 22  jhootha kaun hai? kya woh nahin jo is baat se inkar karta hai ki yeeshu hi maseeh hai?+ vahi maseeh ka virodhi hai,+ jo pita ka aur bete ka inkar karta hai. 23  jo koi bete ka inkar karta hai uske saath pita nahin hai.+ aur jo koi bete ko sweekar karta hai+ uske saath pita hai.+ 24  jahaan tak tumhari baat hai, jo tumne shuroo mein suna tha woh tumhare dilon mein bana rahe.+ tumne shuroo mein jo suna tha agar woh tumhare dilon mein bana rahe, to tum bete ke saath aur pita ke saath bhi ekta mein rahoge. 25  iske alava, usne khud hamse jis baat ka vaada kiya hai woh hai, hamesha ki zindagi.+ 26  main tumhein ye baatein isliye likh raha hoon kyonki kuch log tumhein gumrah karne ki koshish kar rahe hain. 27  jahaan tak tumhari baat hai, parmeshvar ne jis pavitra shakti se tumhara abhishek kiya hai+ woh tummein bani rehti hai. ab yah zaroori nahin ki koi aur tumhein sikhaye. magar parmeshvar tumhara abhishek karne ke zariye tumhein sab baatein sikha raha hai.+ tumhara abhishek sachcha hai, jhootha nahin. aur theek jaise tumhein is abhishek ke zariye sikhaya gaya hai, tum uske saath ekta mein bane raho jisne tumhara abhishek kiya hai.+ 28  isliye pyare bachcho, uske saath ekta mein raho taaki jab woh prakat kiya jaaye, to hamare paas bejhijhak bolne ki himmat ho+ aur uski maujoodgi ke dauran hum sharminda hokar usse door na chale jaayen. 29  agar tum jaante ho ki woh* nek hai, to tum yah bhi jaante ho ki jo koi nek kaam karta hai woh parmeshvar se paida hua hai.+

kai footnote

ya “fariyad karnevala.”
ya “jo prayashchit ka balidan hai; jo parmeshvar ko khush karta hai.”
shaa., “vaise hi chalta rahe jaise woh chala tha.”
shaa., “use.”
shaa., “us dusht.”
shaa., “use.”
shaa., “us dusht.”
ya “jeevan ke saadhnon.”
ya “ke baare mein ding maarna.”
ya “hamare log nahin the.”
yaani yeeshu.