doosra raja 13:1-25

  • israel ka raja yahoahaj (1-9)

  • israel ka raja yahoash (10-13)

  • eleesha ne uska josh parkha (14-19)

  • eleesha ki maut; uski haddiyon se ek murda zinda hua (20, 21)

  • uski aakhiri bhavishyavani poori hui (22-25)

13  jab yahooda mein ahajyah+ ke bete yahoash+ ke raaj ka 23vaan saal chal raha tha, tab israel mein yehoo+ ka beta yahoahaj raja bana. yahoahaj ne saamriya mein rehkar 17 saal raaj kiya.  woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. woh us paap mein dooba raha jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaya tha.+ woh usse baaz nahin aaya.  isliye israel par yahova ka krodh+ bhadak utha+ aur usne unhein seeriya ke raja hajael+ aur uske bete ben-hadad+ ke haath mein kar diya. aur woh kaafi samay tak unke kabze mein rahe.  kuch samay baad yahoahaj ne yahova se reham ki bheekh maangi aur yahova ne uski binti suni, kyonki usne dekha tha ki seeriya ka raja israel par kaise-kaise atyachar kar raha hai.+  isliye yahova ne israel ko ek bachanevala diya+ jisne use seeriya ke changul se chhudaya. ab israeli pehale ki tarah apne gharon mein rehne lage.*  (fir bhi unhonne woh paap karna nahin chhoda jo yaarobam ke gharane ne israel se karvaya tha.+ woh us paap mein doobe rahe* aur saamriya mein jo pooja-laath*+ thi use nahin hataya gaya.)  yahoahaj ke paas sirf 50 ghudsavaaron, 10 rathon aur 10,000 paidal sainikon ki sena reh gayi thi, kyonki seeriya ke raja ne uski sena ko naash kar diya tha+ aur use khalihan mein anaj ki dhool ki tarah raund daala tha.+  yahoahaj ki zindagi ki baaki kahani aur usne jo-jo kaam kiye, unka aur uske bade-bade kaamon ka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai.  fir yahoahaj ki maut ho gayi* aur use saamriya mein dafnaya gaya.+ uski jagah uska beta yahoash raja bana. 10  jab yahoahaj ka beta yahoash+ israel ka raja bana, tab yahooda mein raja yahoash ke raaj ka 37vaan saal chal raha tha. israel ke raja yahoash ne saamriya mein rehkar 16 saal raaj kiya. 11  woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha aur un paapon se baaz nahin aaya jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the.+ woh un paapon mein dooba raha. 12  yahoash ki zindagi ki baaki kahani aur usne jo-jo kaam kiye unka, uske mahan kaamon ka aur usne kaise yahooda ke raja amajyah se yuddh kiya,+ un sabka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 13  fir yahoash ki maut ho gayi* aur use saamriya mein israel ke raajaon ki kabraa mein dafnaya gaya.+ yahoash ke baad yaarobam*+ raajgaddi par baitha. 14  eleesha+ beemar ho gaya tha jis vajah se baad mein uski maut ho gayi. jab woh beemar tha tab israel ka raja yahoash uske paas aaya aur uske liye rone laga. usne kaha, “hey mere pita, mere pita! israel ka rath aur uske ghudsavaar!”+ 15  eleesha ne usse kaha, “ek kaman aur kuch teer le.” usne ek kaman aur kuch teer liye. 16  eleesha ne israel ke raja se kaha, “apni kaman haath mein le.” usne kaman li aur eleesha ne apne haath raja ke haathon par rakhe. 17  usne raja se kaha, “poorab ki tarafvali khidki khol.” usne khidki kholi. eleesha ne kaha, “chala teer!” usne teer chalaya. eleesha ne kaha, “yah yahova se milnevali jeet* ka teer hai, seeriya par milnevali jeet* ka teer! tu apek+ mein seeriya ko tab tak maarta rahega* jab tak ki tu use mita nahin deta.” 18  fir eleesha ne kaha, “kuch teer haath mein le.” usne teer liye. eleesha ne israel ke raja se kaha, “ab inhein zameen par maar.” woh teen baar maarkar ruk gaya. 19  yah dekhkar sachche parmeshvar ke sevak ko us par bahot gussa aaya aur usne kaha, “tujhe zameen par paanch-chhe: baar maarna chahiye tha! agar tu aisa karta, to tu seeriya ko tab tak maarta rehta jab tak ki use mita nahin deta. magar ab tu sirf teen baar use hara paayega.”+ 20  iske baad eleesha ki maut ho gayi aur use dafnaya gaya. moab ke lutere-dal+ saal ki shurooat mein* israel par hamla karne aate the. 21  jab kuch aadmi ek laash dafna rahe the, to unhonne moab ke lutere-dal ko dekha. isliye woh jaldi se laash eleesha ki kabraa mein feinkkar bhaag gaye. woh laash eleesha ki haddiyon se jaa lagi aur woh aadmi zinda ho gaya+ aur apne pairon par khada ho gaya. 22  yahoahaj ki saari zindagi seeriya ka raja hajael+ israel par atyachar karta raha.+ 23  magar yahova ne abraham,+ ishaak+ aur yakub ke saath kiye karar+ ki vajah se israel par taras khaaya aur us par daya ki.+ woh israel ko naash nahin karna chahta tha. usne aaj tak israel ko apni nazron se door nahin kiya. 24  jab seeriya ka raja hajael mar gaya, to uski jagah uska beta ben-hadad raja bana. 25  fir yahoahaj ke bete yahoash ne hajael ke bete ben-hadad se woh saare shehar vaapas le liye, jo hajael ne yahoahaj se yuddh karke le liye the. yahoash ne ben-hadad ko teen baar yuddh mein haraya+ aur israel ke shehar usse vaapas le liye.

kai footnote

yaani shaanti aur suraksha se rehne lage.
shabdavli dekhein.
shaa., “woh usmein chalta raha.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
yaani yaarobam dviteeya.
ya “ki taraf se milnevale uddhaar.”
ya “se uddhaar.”
ya “harayega.”
shaayad vasant mein.