timuthiyus ke naam doosri chitthi 3:1-17
3 magar yah jaan le ki aakhiri dinon mein+ sankaton se bhara aisa vakt aayega jiska saamna karna mushkil hoga.
2 isliye ki log sirf khud se pyar karnevale, paise se pyar karnevale, dingein maarnevale, magroor, ninda karnevale, maata-pita ki na maannevale, ehsan na maannevale, vishvasghati,
3 lagav na rakhnevale, kisi bhi baat par raazee na honevale, badnam karnevale, sanyam na rakhnevale, khoonkhar, bhalai se pyar na karnevale,
4 dhokhebaz, dheeth, ghamand se foole huye, parmeshvar ke bajay mauj-masti se pyar karnevale honge,
5 woh bhakti ka dikhava to kareinge magar uske mutabik jeeyenge nahin.+ aison se door ho jaana.
6 inhin mein se woh log nikaalte hain jo chaalaaki se gharon mein ghus aate hain aur chanchal aurton ko apna gulam bana lete hain jin par paap haavi rehta hai aur jo tarah-tarah ki ichhaon ke bas mein hain,
7 jo hamesha seekhti to rehti hain magar sachchai ka sahi gyaan kabhi haasil nahin kar paatin.
8 jis tarah yannes aur yambres ne moosa ka virodh kiya tha, usi tarah ye log sachchai ka virodh karte rehte hain. inka dimag poori tarah bhrasht ho chuka hai aur vishvas ke maamle mein unhein thukra diya gaya hai.
9 magar ye log aur aage nahin badh paayenge, kyonki jaise un donon ki moorkhta sabko saaf pata chal gayi thi vaise hi inki moorkhta bhi sabko saaf pata chal jaayegi.+
10 magar toone meri shikshaon, mere jeene ke tareeke,+ mere maksad, mere vishvas, mere sabraa, mere pyar, mere dheeraj
11 aur mujh par huye zulmon aur mere dukhon ko nazdeeki se dekha hai. tu yah bhi jaanta hai ki antakiya,+ ikuniyum+ aur lustra+ mein mainne kya-kya jhela aur kaise-kaise zulm sahe, fir bhi prabhu ne mujhe in sabse bachaya.+
12 darasal, jitne bhi maseeh yeeshu mein parmeshvar ki bhakti ke saath jeevan bitana chahte hain un sab par isi tarah zulm dhaaye jaayenge.+
13 magar dusht aur farebi bad-se-badtar hote chale jaayenge. woh khud to gumrah honge, saath hi doosron ko bhi gumrah karte jaayenge.+
14 magar jo baatein toone seekhi hain aur jinka tujhe daleelein dekar yakeen dilaya gaya tha un baaton ko maanta reh,+ yah jaante huye ki toone ye kin logon se seekhi thi
15 aur yah bhi ki jab tu ek shishu tha+ tabhi se tu pavitra shastra ke lekh jaanta hai.+ ye vachan tujhe maseeh yeeshu mein vishvas ke zariye uddhaar paane ke liye buddhiman bana sakte hain.+
16 poora shastra parmeshvar ki prerna se likha gaya hai+ aur sikhane,+ samjhane, tedhi baaton ko seedh mein laane* aur nek staron ke mutabik soch dhaalne ke liye faaydemand hai+
17 taaki parmeshvar ka sevak har achhe kaam ke liye poori tarah kaabil bane aur har tarah se taiyar ho sake.
kai footnote
^ ya “ko sudhaarne.”