timuthiyus ke naam doosri chitthi 4:1-22
4 main tujhe parmeshvar aur maseeh yeeshu ke saamne, jiska raaj aanevala hai+ aur jo prakat hokar+ zinda logon aur mare huon ka nyay karnevala hai,+ yah aadesh deta hoon:
2 tu vachan ka prachar kar.+ aur vakt ki nazakat ko samajhte huye ismein laga reh, fir chahe achha samay ho ya bura. sabra se kaam lete huye aur kushalta se sikhate huye galti karnevale ko sudhaar,+ daant aur samjha.+
3 isliye ki aisa samay aayega jab log khari* shiksha ko bardasht nahin kar sakeinge,+ magar apni ichhaon ke mutabik apne liye aise shikshak bator leinge jo unke kaanon ki khujli mita sakein.*+
4 woh sachchai ki baaton se kaan fer leinge aur jhoothi kahaniyon par dhyan deinge.
5 lekin tu sab baaton mein hosh-havaas banaye rakh, mushkilon mein dheeraj dhar,+ pracharak ka kaam kar,* apni seva achhi tarah poori kar.+
6 mujhe argh ki tarah undela jaa raha hai+ aur meri rihai ka vakt+ ekdam kareeb hai.
7 mainne achhi ladai ladi hai.+ mainne apni daud poori kar li hai,+ mainne vishvas ko thaame rakha hai.
8 ab mere liye neki ka taaj rakha hua hai,+ jise prabhu jo sachcha nyayi hai,+ mujhe us din inam mein dega.+ yah inam sirf mujhe nahin balki un sabhi ko milega jo uske prakat hone ka betabi se intazar karte hain.
9 mere paas jald-se-jald aane ki koshish kar.
10 isliye ki demas+ ne is duniya* ke moh mein padkar mujhe chhod diya hai aur woh thisslunike chala gaya. kreskeins, galatiya chala gaya aur titus, dalmatiya chala gaya hai.
11 sirf luka mere saath hai. markus ko apne saath lete aana kyonki woh seva ke liye mere bahot kaam ka hai.
12 tukhikus+ ko mainne ifisus bheja hai.
13 jab tu aaye to mera woh choga lete aana jo mainne troas mein karpus ke yahaan chhoda tha. saath mein kharre bhi lete aana, khaaskar charampatra.*
14 tambe ka kaam karnevale thathere sikandar ne mujhe bahot nuksan pahunchaya hai. yahova* uski kartooton ka badla use dega.+
15 tu bhi usse bachkar rehna kyonki usne hamare sandesh ka badh-chadhkar virodh kiya hai.
16 meri pehali peshi ke vakt koi bhi mera saath dene nahin aaya. sabne mujhse kinara kar liya. meri dua hai ki unse iska lekha na liya jaaye.
17 magar prabhu mere paas khada raha aur usne mujhmein shakti bhar di taaki mere zariye achhi tarah prachar ho aur sab raashtron ke log sun sakein.+ mujhe sher ke munh se chhudaya gaya.+
18 prabhu mujhe har dusht chaal se bachayega aur apne swarg ke raaj ke liye meri hifazat karega.+ uski mahima hamesha-hamesha tak hoti rahe. aameen.
19 priska aur akvila ko+ aur unesifurus+ ke gharane ko mera namaskar kehna.
20 irastus+ kurinth mein reh gaya aur trufimus+ ko main meeletus mein chhod aaya kyonki woh beemar tha.
21 sardiyaan shuroo hone se pehale mere paas aane ki poori koshish karna.
yooboolus, poodeins, leenus, klaudiya aur saare bhaai tujhe namaskar kehte hain.
22 tu jo badhiya jazba dikhata hai us vajah se prabhu ki aasheesh tujh par ho. uski maha-kripa tum logon par bani rahe.
kai footnote
^ ya “swasthyakar; faaydemand.”
^ ya “unhein vahi batayen jo woh sunnaa chahte hain.”
^ ya “khushkhabri ka prachar karta reh.”
^ yaani chamde ke kharre.