bhajan 107:1-43

  • parmeshvar ke ajoobon ke liye uska shukriya ada karo

    • woh unhein sahi raaste se le gaya (7)

    • bhookhe-pyason ko santusht kiya (9)

    • unhein andhkar se baahar laaya (14)

    • apne vachan ke zariye unki beemari door ki (20)

    • woh gareebon ko zulm se bachata hai (41)

(bhajan 107-150) 107  yahova ka shukriya ada karo kyonki woh bhala hai,+uska atal pyar sada bana rehta hai.+   jinhein yahova ne chhudaya hai,* woh yahi kahein,jinhein usne dushman ke haath* se chhudaya hai,+   desh-desh se ikattha kiya hai,+poorab se, pashchim se,* uttar se aur dakshin se, woh aisa hi kahein.+   woh veerane mein, jangal mein bhatakte-firte rahe,unhein kisi shehar ka raasta na mila ki woh jaakaar bas jaate.   woh bhookhe-pyase the,thak-haarkar past ho chuke the.   sankat mein woh yahova ko pukarte rahe,+usne unhein badhali se baahar nikaala.+   woh unhein sahi raaste se le gaya+ki woh ek aise shehar pahunchein jahaan woh bas jaayen.+   yahova ke atal pyar ke liye,insanon ki khaatir uske aashcharya ke kaamon ke liye+log uska shukriya ada karein.+   kyonki usne pyason ki pyas bujhayi,bhookhon ko achhi cheezen khilakar santusht kiya.+ 10  kuch log ghor andhkar mein ji rahe the,kaidi lohe ki zanjeeron mein jakde dukh jhel rahe the. 11  woh parmeshvar ke vachan ke khilaf gaye the,unhonne param-pradhan ki salah ko tuchh jaana tha.+ 12  isliye usne un par takaleefein laakaar unke dilon ko deen kiya,+woh ladkhadakar gir pade, unki madad karnevala koi na tha. 13  sankat mein unhonne madad ke liye yahova ko pukara,usne unhein badhali se chhudaya. 14  woh unhein ghor andhkar se baahar le aaya,unki bediyaan tod di.+ 15  yahova ke atal pyar ke liye,+insanon ki khaatir uske aashcharya ke kaamon ke liyelog uska shukriya ada karein. 16  usne tambe ke faatak tod daale,lohe ke bedon ke tukde-tukde kar diye.+ 17  jo moorkh the unhein dukh jhelna pada,+apne apradhon aur gunahon ki vajah se dukh jhelna pada.+ 18  unki bhookh mar gayi,woh kabraa ke darvazon tak pahunch gaye. 19  woh sankat mein madad ke liye yahova ko pukarte,woh unhein badhali se chhudata. 20  woh apne vachan ke zariye unki beemari door karta,+unhein un gaddhon se baahar paayenge jahaan woh fans gaye the. 21  yahova ke atal pyar ke liye,insanon ki khaatir uske aashcharya ke kaamon ke liyelog uska shukriya ada karein. 22  woh uske liye dhanyavad-bali chadhayen,+khushi se jayjaykar karte huye uske kaamon ka ailan karein. 23  jo jahazon se samundar par safar karte hain,vishal saagar se hokar vyapar ka maal laate-le jaate hain,+ 24  unhonne yahova ke kaam dekhe hain,woh khoobsoorat cheezen dekhi hain jo usne samundar mein rachi hain+ 25  ki uske hukm par kaise aandhi chalti hai+aur saagar ki lehron ko uthati hai. 26  woh aasman ki unchai tak uthte hain,samundar ki gehraiyon mein doob jaate hain. khatra mandrata dekhkar unki himmat toot jaati hai. 27  woh ek matvale ki tarah ladkhadate hain, girte-padte hain,unka saara hunar bekar ho jaata hai.+ 28  tab woh sankat mein yahova ko pukarte hain+aur woh unhein badhali se chhudata hai. 29  woh aandhi ko shaant kar deta hai,samundar ki lehrein khaamosh ho jaati hain.+ 30  lehron ka thamna dekhkar woh khush hote hain,woh unhein unke manchahe bandargah par le jaata hai. 31  yahova ke atal pyar ke liye,insanon ki khaatir uske aashcharya ke kaamon ke liye+log uska shukriya ada karein. 32  woh logon ki mandli mein use uncha uthayen,+buzurgon ki sabha* mein uski taareef karein. 33  woh nadiyon ko registan mein badal deta hai,paani ke soton ko sookhi zameen mein+ 34  aur upjaoo zameen ko namakvali zameen mein badal deta hai,+vahaan ke rehnevalon ki dushtata ki vajah se woh aisa karta hai. 35  woh registan ko narkatonvale taalab meinaur sookhi zameen ko paani ke soton mein badal deta hai.+ 36  woh bhookhon ko vahaan basata hai+taaki woh shehar basakar usmein reh sakein.+ 37  woh khet bote hain aur angooron ke baag lagate hain,+jahaan badhiya faslein hoti hain.+ 38  woh unhein aasheesh deta hai aur unki ginti khoob badhti hai,woh unke maveshiyon ki ginti ghatne nahin deta.+ 39  magar zulm, kehar aur dukh ki vajah sedobara unki ginti kam ho jaati hai aur woh beizzat kiye jaate hain. 40  woh rutbedar logon ka apman karvata hai,unhein veeranon mein bhatkata hai jahaan koi raasta nahin.+ 41  magar woh gareebon ko zulm se bachata hai,*+unke parivar ko bhedon ke jhund ki tarah badhata hai. 42  yah dekhkar seedhe-sachche log aanand-magan hote hain,+magar sabhi dusht apna munh band kar lete hain.+ 43  jo koi buddhiman hai, woh in baaton par dhyan dega,+yahova ke atal pyar ke kaamon par gaur se sochega.+

kai footnote

ya “vaapas khareed liya hai.”
ya “ki taakat.”
ya “udyachal aur astachal se.”
shaa., “baithak.”
ya “unche par rakhta hai,” yaani pahunch se baahar.