bhajan 118:1-29

  • yahova ki jeet ke liye uska shukriya ada karna

    • ‘mainne use pukara, usne javab diya’ (5)

    • “yahova meri taraf hai” (6, 7)

    • thukraya gaya patthar kone ka mukhya patthar ban gaya (22)

    • “jo yahova ke naam se aata hai” (26)

118  yahova ka shukriya ada karo kyonki woh bhala hai,+uska atal pyar sada bana rehta hai.   israel ab kahe, “uska atal pyar sada bana rehta hai.”   haaroon ke gharane ke log ab kahein, “uska atal pyar sada bana rehta hai.”   yahova ka dar maannevale ab kahein, “uska atal pyar sada bana rehta hai.”   mainne sankat mein yaah* ko pukara,yaah ne mujhe javab diya aur ek mehfooz* jagah le aaya.+   yahova meri taraf hai, main nahin daroonga.+ insan mera kya kar sakta hai?+   yahova meri taraf hai, mera madadgar hai,*+jo mujhse nafrat karte hain, main unki haar dekhoonga.+   yahova ki panah lena behtar hai,bajay iske ki insanon par bharosa karein.+   yahova ki panah lena behtar hai,bajay iske ki haakimon par bharosa karein.+ 10  sab raashtron ne mujhe gher liya,magar mainne yahova ke naam se sabko bhaga diya.+ 11  unhonne mujhe gher liya, haan, main poori tarah se ghir chuka tha,magar mainne yahova ke naam se sabko bhaga diya. 12  unhonne madhumakkhiyon ki tarah mujhe gher liya,magar woh jald mit gaye,jaise aag lagne par kanteeli jhaadiyaan bhasm ho jaati hain. mainne yahova ke naam se sabko bhaga diya.+ 13  mujhe girane ke liye zor ka dhakka diya gaya,*magar yahova ne meri madad ki. 14  yaah mera aasra hai, meri taakat hai,woh mera uddharkarta ban gaya hai.+ 15  nek janon ka uddhaar hua hai,*isliye unke tambuon se khushi ki jayjaykar sunayi de rahi hai. yahova ka daayaan haath apni taakat dikha raha hai.+ 16  yahova ka daayaan haath uncha utha hai,yahova ka daayaan haath apni taakat dikha raha hai.+ 17  mujhe marna manzoor nahin, main jeeungataaki yaah ke kaamon ka ailan karoon.+ 18  yaah ne mujhe kadi fatkaar lagayi,+magar mujhe maut ke havale nahin kiya.+ 19  mere liye neki ke faatak khol do,+main unmein daakhil hounga aur yaah ki taareef karoonga. 20  yah yahova ka faatak hai. nek jan ismein se daakhil honge.+ 21  main teri taareef karoonga kyonki toone mujhe javab diya+aur tu mera uddharkarta ban gaya. 22  jis patthar ko raajmistriyon ne thukra diya,vahi kone ka mukhya patthar ban gaya hai.+ 23  yah yahova ki taraf se hua hai+aur hamari nazar mein laajavab hai.+ 24  yah yahova ka thehraya hua din hai,iske kaaran hum khushiyaan manayenge, aanand-magan honge. 25  hey yahova, hamein bacha le, hamara gidgidana sun le! hey yahova, hamein jeet dila, hamari binti sun le! 26  dhanya hai woh jo yahova ke naam se aata hai.+hum yahova ke bhavan se tum logon ko aasheervad dete hain. 27  yahova parmeshvar hai,woh hamein raushni deta hai.+ haathon mein daaliyaan liye tyohar ke juloos mein shaamil ho jaao,+vedi ke singon+ tak chalo. 28  tu mera parmeshvar hai, main teri taareef karoonga,mere parmeshvar, main teri badai karoonga.+ 29  yahova ka shukriya ada karo+ kyonki woh bhala hai,uska atal pyar sada bana rehta hai.+

kai footnote

“yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
ya “khuli.”
ya shaayad, “yahova meri taraf meri madad karnevalon ke saath hai.”
ya shaayad, “toone mujhe zor ka dhakka diya.”
ya “ki jeet hui hai.”