bhajan 125:1-5

  • yahova apne logon ki hifazat karta hai

    • “jaise pahad yarooshalem ko ghere huye hain” (2)

    • “israel par shaanti bani rahe” (5)

chadhai ka geet. 125  jo yahova par bharosa rakhte hain,+woh siyyon pahad ki tarah hain, jo hilaya nahin jaa sakta,magar sada kaayam rehta hai.+   jaise pahad yarooshalem ko ghere huye hain,+vaise hi yahova apne logon ko ghere rahega,+ab se lekar hamesha-hamesha tak.   nek logon ke hisse ki zameen pardushtata ka raajdand raaj nahin karta rahega+taaki nek log burai ki taraf na firein.*+   hey yahova, bhale logon kaaur seedhe-sachche manvalon ka bhala kar.+   magar jo seedhi raah se hatkar tedhi raahon par chalte hain,unhein yahova gunahgaron ke saath nikaal dega.+ israel par shaanti bani rahe.

kai footnote

ya “apne haath na badhayen.”