bhajan 140:1-13

  • yahova, shaktishali uddharkarta

    • dusht aadmi saanpon jaise hain (3)

    • khoonkhar aadmi maar daale jaayenge (11)

daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat. 140  hey yahova, mujhe bure logon se chhuda le,khoonkhar aadmiyon se meri hifazat kar,+   jo apne dilon mein saazishein rachte hain,+saara din jhagda khada karte hain.   unhonne apni zaban saanp ki jeebh jaisi tez kar rakhi hai,+unke honthon ke peechhe saanpon ka zehar hai.+ (sela )   hey yahova, mujhe dushton ke haathon mein padne se bacha,+khoonkhar aadmiyon se meri hifazat kar,jo mujhe girane ki saazish karte hain.   magroor log mere liye fanda lagate hain,raaste ke kinare rasson ka jaal bichhate hain.+ woh mere liye jaal bichhate hain.+ (sela )   main yahova se kehta hoon, “tu mera parmeshvar hai. hey yahova, meri madad ki pukar sun.”+   hey yahova, saare jahan ke maalik, mere shaktishali uddharkarta,tu yuddh ke din mere sir ko aad deta hai.+   hey yahova, dushton ki ichhayen poori mat kar. unki chaalein kaamyab na hone de taaki woh ghamand se bhar na jaayen.+ (sela )   mujhe ghernevale mere baare mein jo bura kehte hain,woh unhin ke sir pade.+ 10  un par jalte angare barsein.+ woh aag mein jhonk diye jaayen,gehri khaaiyon*+ mein gira diye jaayen taaki fir kabhi na uth sakein. 11  doosron ko badnam karnevalon ko dharti par* kahin jagah na mile.+ museebat khoonkhar aadmiyon ka peechha kare aur unhein maar daale. 12  main jaanta hoon ki yahova deen logon ki pairvi karegaaur gareebon ko nyay dilayega.+ 13  nek log beshak tere naam ki taareef kareinge,seedhe-sachche log tere saamne* base raheinge.+

kai footnote

ya “paani se bhare gaddhon.”
ya “desh mein.”
ya “teri maujoodgi mein.”