bhajan 145:1-21

  • mahan raja parmeshvar ki taareef karna

    • “main teri mahanta ka ailan karoonga” (6)

    • “yahova sabke saath bhala karta hai” (9)

    • “vafadar log teri taareef kareinge” (10)

    • uska raaj sada kaayam rahega (13)

    • mutthi kholkar sabki ichha poori karega (16)

daavid ka racha hua taareef ka geet. א [aalef ] 145  hey mere parmeshvar, mere raja, main teri badai karoonga,+sada tak tere naam ki taareef karoonga.+ ב [beth ]   main saara din teri taareef karoonga,+sada tak tere naam ki taareef karoonga.+ ג [gimel ]   yahova mahan hai, sabse zyada taareef ke kaabil hai,+uski mahanta hamari samajh se pare hai.+ ד [daalath ]   peedhi-dar-peedhi log tere kaamon ki taareef kareinge,tere shaktishali kaamon ka bakhan kiya kareinge.+ ה [hey ]   woh teri mahima, tere pratap aur vaibhav ke baare mein batayenge+ aur main tere aashcharya ke kaamon par manan karoonga. ו [vaav ]   woh tere vismaykari kaamon* ke baare mein batayengeaur main teri mahanta ka ailan karoonga. ז [jain ]   woh teri apar bhalai yaad karke bade josh se uski charcha kareinge,+teri neki ke kaaran khushi se jayjaykar kareinge.+ ח [heth ]   yahova karuna se bhara aur dayalu hai,+krodh karne mein dheema aur atal pyar se bharpoor hai.+ ט [teth ]   yahova sabke saath bhala karta hai,+uski daya uske sab kaamon mein dikhayi deti hai. י [yodh ] 10  hey yahova, tere sab kaam teri mahima kareinge,+tere vafadar log teri taareef kareinge.+ כ [kaaf ] 11  woh tere raaj ke aishvarya ka ailan kareinge+aur teri mahashakti ka bakhan kareinge,+ ל [laamedh ] 12  taaki log tere shaktishali kaamonaur tere raaj ke aishvarya aur vaibhav+ ke baare mein jaanein.+ מ [mem ] 13  tera raaj sada tak kaayam rehnevala raaj hai,tera raaj peedhi-peedhi tak bana rahega.+ ס [saamekh ] 14  yahova girnevale sabhi logon ko sambhaalta hai+aur un sabko uthata hai jo jhuk gaye hain.+ ע [aiyin ] 15  sabki aankhein ummeed se teri or lagi rehti hain,tu unhein vakt par khaana deta hai.+ פ [pe ] 16  tu apni mutthi kholkarharek jeev ki ichha poori karta hai.+ צ [saade ] 17  yahova har kaam mein nek hai,+woh har kaam vafadari se karta hai.+ ק [kof ] 18  yahova un sabke kareeb rehta hai jo use pukarte hain,+jo sachche dil* se use pukarte hain.+ ר [resh ] 19  woh un sabki ichha poori karta hai jo uska dar maante hain,+woh unki madad ki pukar sunta hai aur unhein chhudata hai.+ ש [sheen ] 20  yahova un sabki hifazat karta hai jo usse pyar karte hain,+magar sabhi dushton ko woh mita dega.+ ת [taav ] 21  main apne munh se yahova ki taareef karoonga,+harek jeev sada tak uske pavitra naam ki taareef kare.+

kai footnote

ya “teri shakti.”
ya “sachchai.”