bhajan 19:1-14
daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat.
19 aasman parmeshvar ki mahima bayan karta hai,+ambar uske haath ki rachnaon ka ailan karta hai.+
2 din-bhar uski taareef mein unke bol umadte hain,raat ko woh gyaan ki baatein failate hain.
3 unki na koi boli hai, na koi shabd,unki aavaz nahin sunayi deti.
4 fir bhi unki aavaz* saari dharti par goonjti hai,unka sandesh dharti* ke kone-kone tak pahunchta hai.+
parmeshvar ne aakash mein sooraj ke liye tamboo taana hai,
5 sooraj us doolhe ki tarah damakta hai jo apne kamre se baahar aata hai,woh shoorveer ki tarah hai jo daud daudne ke liye umang se bhara hai.
6 woh aasman ke ek chhor se ugta haiaur chakkar kaatta hua doosre chhor tak jaata hai,+kuch bhi aisa nahin jis tak uski garmi na pahunche.
7 yahova ka kaanoon khara* hai,+ jaan mein jaan daal deta hai.+
yahova jo hidayat yaad dilata hai woh bharosemand hai,+jinhein koi tajurba nahin hai unhein bhi buddhiman bana deti hai.+
8 yahova ke aadesh nek hain, man ko aanand se bhar dete hain,+yahova ki aagya shuddh hai, aankhon mein chamak laati hai.+
9 yahova ka dar+ pavitra hai, sada bana rehta hai.
yahova ke faisle sachche hain, har tarah se sahi hain.+
10 woh sone se bhi zyada chahne laayak hain,dher saare shuddh* sone se bhi manbhavne.+woh madhu se bhi madhur hain,+chhatte se tapakte shehad se bhi zyada meethe.
11 woh tere sevak ko aagah karte hain,+unhein maanne se bada inam milta hai.+
12 apni galtiyon ka ehsas kise hota hai?+
mujhse anjane mein jo paap huye hain unhein maaf karke mujhe nirdosh thehra.
13 apne sevak ko gustakhi karne se rok+taaki yah fitrat mujh par haavi na ho jaaye.+
tab main ghor paap* karne se bacha rahoongaaur nirdosh bana rahoonga.+
14 hey yahova, meri chattan+ aur mere chhudanevale,+mere munh ki baatein aur man ke vichar hamesha tujhe bhaayen.+
kai footnote
^ ya shaayad, “naapne ki dori.”
^ ya “upjaoo zameen.”
^ ya “paripoorna.”
^ ya “taaye huye.”
^ ya “bhaari apradh.”