bhajan 24:1-10

  • gauravshali raja faatkon se daakhil hua

    • ‘dharti yahova ki hai’ (1)

daavid ka sureela geet. 24  dharti aur uski har cheez yahova ki hai,+upjaoo zameen aur is par rehnevale uske hain.   usne dharti ki pakki buniyad samundaron par daali,+use nadiyon par mazbooti se kaayam kiya.   yahova ke pahad par kaun chadh sakta hai?+kaun uski pavitra jagah mein khada ho sakta hai?   vahi jo begunah hai aur jiska dil saaf hai,+jisne mere jeevan* ki jhoothi shapath nahin khaayi,na hi shapath khaakaar chhal kiya.+   aisa insan yahova se aasheeshein paayega,+uddhaar karnevale apne parmeshvar ki nazar mein nek bana rahega.+   parmeshvar ki khoj karnevalon ki peedhi yahi hai,hey yakub ke parmeshvar, ye hi woh log hain jo teri manzoori paana chahte hain. (sela )   hey faatko, unche ho jaao,+muddaton se khade darvazo, khul jaao*taaki gauravshali raja daakhil ho sake!+   yah gauravshali raja kaun hai? yah yahova hai, shaktishali aur taakatvar parmeshvar,+yah yahova hai, ek veer yoddha jiska koi saani nahin.+   hey faatko, unche ho jaao,+muddaton se khade darvazo, khul jaaotaaki gauravshali raja daakhil ho sake! 10  yah gauravshali raja kaun hai? senaon ka parmeshvar yahova hi gauravshali raja hai.+ (sela )

kai footnote

yahaan yahova ke jeevan ki baat ki gayi hai jiski insan shapath khaata hai.
ya “oopar utho.”