bhajan 39:1-13
daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat: yadootoon*+ ka.
39 mainne kaha, “main bahot saavdhani bartoongataaki apni jeebh se paap na kar baithoon.+
jab tak koi dusht mere saamne rahegatab tak main apne munh par muska* baandhe rahoonga.”+
2 main goonga ho gaya, kuch nahin bola,+achhi baatein kehne ke liye bhi mainne munh nahin khola,magar mera dard sahan se baahar tha.*
3 mera dil sulagne laga,
main gehrai se sochta raha* aur aag jalti rahi.
fir main bol utha,
4 “hey yahova, mujhe bata ki mera ant kab hoga,mere aur kitne din reh gaye hain+taaki main jaanoon ki meri zindagi kitni chhoti hai.*
5 vaakai, toone mujhe pal-bhar ki zindagi di hai,*+mera jeevankal tere saamne kuch bhi nahin.+
sach, har insan bas ek saans hai,fir chahe woh kitna hi surakshit kyon na dikhayi pade.+ (sela )
6 sach, har insan ek parchhain jaisa hai.
woh bekar mein daud-dhoop* karta hai.
daulat ka ambaar lagata hai, magar nahin jaanta ki kaun uska maza lega.+
7 isliye hey yahova, main kis par aasha rakhoon?
tu hi meri aasha hai.
8 mujhe mere sab apradhon se chhuda le.+
moorkhon ko meri khilli udane ka mauka na de.
9 main khaamosh hi raha, mainne apna munh nahin khola+kyonki yah toone kiya hai.+
10 toone mujh par jo kehar dhaaya, use hata de.
main tere haath ki maar sehte-sehte past ho gaya hoon.
11 tu aadmi ko uske kiye ki saza dekar sudhaarta hai,+woh jin cheezon ko khazane ki tarah sambhaalkar rakhta hai,unhein tu mita deta hai jaise kapad-keeda kapda chat kar jaata hai.
sach, har insan bas ek saans hai.+ (sela )
12 hey yahova, meri prarthna sun,meri madad ki pukar par dhyan de.+
mere aansuon ko andekha na kar.
kyonki main teri nazar mein bas ek pardesi hoon,+ek musafir,* jaise mere sabhi baap-daade the.+
13 apni krodh-bhari nazrein mujhse fer le taaki meri khushi laut aaye,isse pehale ki main markar mit jaaun.”
kai footnote
^ yaani jaanvaron ke munh par baandhi jaanevali jaali.
^ ya “badh gaya.”
^ ya “main aahein bharta raha.”
^ ya “ki main pal-bhar ka hoon.”
^ shaa., “toone mere din bitte-bhar banaye hain.”
^ shaa., “shor.”
^ ya “ek pravasi.”