bhajan 46:1-11

  • ‘parmeshvar hamari panah hai’

    • uske aashcharya ke kaam (8)

    • woh poori dharti se yuddh mitayega (9)

korah ke vanshajon+ ka geet. nirdeshak ke liye hidayat: alamot ki shaili* ke mutabik. 46  parmeshvar hamari panah aur taakat hai,+bure vakt mein aasani se milnevali madad hai.+   isliye hum nahin dareinge, chahe dharti ulat-pulat ho jaaye,chahe pahad tootkar samundar ki gehrai mein sama jaayen,+   chahe samundar garje aur uchhal-uchhalkar fen uthaye,+chahe uski khalbali se pahad buri tarah dolein. (sela )   ek nadi hai jiski dhaaraon se parmeshvar ka nagar,param-pradhan ka mahan pavitra dera khushi se jhoom uthta hai.+   us nagar mein parmeshvar maujood hai,+ isliye use dhaaya nahin jaa sakta. pau fatte hi parmeshvar uski madad karne aayega.+   raashtra bhadke huye the, raajya ulat diye gaye,parmeshvar ne aavaz buland ki aur dharti pighal gayi.+   senaon ka parmeshvar yahova hamare sang hai,+yakub ka parmeshvar hamara uncha gadh hai. (sela )   aao, apni aankhon se yahova ke kaam dekho,dharti par usne kaise-kaise aashcharya ke kaam kiye hain.   dharti ke kone-kone se woh yuddhon ko mita deta hai.+ teer-kaman tod daalta hai, bhaale choor-choor kar deta hai,yuddh-rathon* ko aag mein bhasm kar deta hai. 10  usne kaha, “haar maan lo aur jaan lo ki main hi parmeshvar hoon. raashtron mein meri badai ki jaayegi,+saari dharti par meri badai ki jaayegi.”+ 11  senaon ka parmeshvar yahova hamare sang hai,+yakub ka parmeshvar hamara uncha gadh hai.+ (sela )

kai footnote

shabdavli dekhein.
ya shaayad, “dhaalon.”