bhajan 47:1-9
korah ke vanshajon+ ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat.
47 desh-desh ke logo, tum sab taaliyaan bajao.
jeet ka jashna manao aur khushi se parmeshvar ki jayjaykar karo.
2 kyonki param-pradhan yahova vismaykari parmeshvar hai,+saari dharti ka woh maharaja hai.+
3 woh desh-desh ke logon ko hamare adheen kar deta hai,raashtron ko hamare pairon tale kar deta hai.+
4 woh hamare liye virasat chunta hai,+woh desh jis par uske pyare yakub ko bahot garv hai.+ (sela )
5 jab parmeshvar ki khushi se jayjaykar ho rahi thi tab woh oopar chadha,jab narsinge* ki aavaz goonj rahi thi tab yahova oopar chadha.
6 parmeshvar ki taareef mein geet gaao,* uski taareef mein geet gaao.
hamare raja ki taareef mein geet gaao, uski taareef mein geet gaao.
7 kyonki parmeshvar poori dharti ka raja hai,+uski taareef mein geet gaao aur androoni samajh se kaam lo.
8 parmeshvar sab raashtron ka raja ban gaya hai.+
woh apni pavitra raajgaddi par baitha hai.
9 desh-desh ke logon ke aguve ikattha huye hain,abraham ke parmeshvar ki praja ke saath ho liye hain.
kyonki dharti ke sabhi shaasak* parmeshvar ke hain.
woh uncha kiya gaya hai.+