bhajan 49:1-20
korah ke vanshajon+ ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat.
49 desh-desh ke logo, suno.
duniya* ke sab logo, dhyan do,
2 kya chhote, kya bade,kya ameer, kya gareeb, sab gaur se suno.
3 mere munh se buddhi ki baatein nikleingi,mera dil samajh ki baaton par manan karega.+
4 main ek neetivachan par dhyan doonga,surmandal bajakar apni paheli ka matlab khulkar samjhaunga.
5 jab main mushkil daur se guzroon to kyon ghabraun?+jab main un logon ki burai se ghir jaaun jo mujhe girana chahte hain to kyon daroon?
6 jo apne dhan par bharosa rakhte hain,+apni daulat ke ambaar par shekhi maarte hain,+
7 unmein se koi bhi apne bhaai ko hargiz nahin chhuda sakta,na hi uske liye parmeshvar ko firauti de sakta hai+
8 (unki jaan ki firauti* ki keemat itni zyada haiki woh use kabhi nahin chuka sakte)
9 ki uska bhaai gaddhe* mein jaane se bache aur hamesha jeeta rahe.+
10 woh dekhte hain ki jaise moorkh aur naasamajh mit jaate hain,vaise hi akaalmand log bhi marte hain+aur unhein apni daulat doosron ke liye chhodni padti hai.+
11 unki dili tamanna hai ki unke ghar hamesha tike rahein,unke tamboo peedhi-dar-peedhi khade rahein.
woh apni jaaydad ka naam apne naam par rakhte hain.
12 magar insan ka chahe kitna hi maan-samman kyon na ho, woh hamesha jeeta na rahega,+woh jaanvaron se kuch badhkar nahin jo mit jaate hain.+
13 moorkhon ka yahi anjam hota hai+aur unke rang-dhang apnanevalon aur unki khokhli baaton se maza lenevalon ka bhi yahi hashra hota hai. (sela )
14 jaise bhedon ko halal ke liye bheja jaata hai, vaise hi unhein kabraa bhej diya jaayega.
maut unhein haankti hui le jaayegi,naya savera hone par seedhe-sachche log un par raaj kareinge,+unka naamo-nishan mit jaayega,+koi mahal nahin,+ kabraa hi unka thikana hogi.+
15 magar mujhe to parmeshvar kabraa ki giraft se chhuda lega,+kyonki woh mujhe thaam lega. (sela )
16 kisi aadmi ko maalamal hote dekh darna mat,uske ghar ka vaibhav badhta dekh ghabrana mat,
17 kyonki marne ke baad woh apne saath kuch nahin le jaa sakta,+uska thaat-baat uske saath nahin jaayega.+
18 saari zindagi woh khud par guman karta hai.+
(jab tere paas daulat hoti hai, to log teri vaah-vaahi karte hain.)+
19 magar aakhir mein woh apne purkhon ki tarah mar jaata hai.
woh fir kabhi ujala nahin dekheinge.
20 jo insan yah baat nahin samajhta, uska chahe kitna hi samman ho,+woh jaanvaron se kuch badhkar nahin jo mit jaate hain.