bhajan 64:1-10
-
chhipkar kiye jaanevale hamlon se bachav
-
“parmeshvar un par teer chalayega” (7)
-
daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat.
64 hey parmeshvar, jab main minnat karoon to meri sun.+
dushman ke khatarnak hamlon se meri jaan bacha.
2 dushton ki khufiya tarkeebon se,+burai karnevalon ki bheed se meri raksha kar.
3 woh apni jeebh talvar ki tarah tez karte hain,kadve shabdon ke teeron se nishana saadhte hain
4 taaki chhipkar nirdosh par vaar karein.woh bedhadak hokar us par achanak teer chalate hain.
5 woh apne bure irade par ade rehte hain,*aapas mein charcha karte hain ki apne fande kaise chhipayen.
woh kehte hain, “in fandon par kiski nazar jaayegi?”+
6 woh gunah karne ke naye-naye tareeke khojte hain,badi chaalaaki se jaal bichhane ki tarkeebein bunte hain,+unke dil ke vichar samajhna naamumkin hai.
7 magar parmeshvar un par teer chalayega,+woh achanak ghaayal ho jaayenge.
8 unki jeebh hi unke girne ki vajah banegi+dekhnevale sabhi hairat se sir hilayenge.
9 tab sabhi aadmi ghabra jaayenge,parmeshvar ne jo kiya hai uska ailan kareinge,woh uske kaamon ki androoni samajh haasil kareinge.+
10 nek jan yahova ke kaaran aanand manayega aur uski panah lega,+seedhe-sachche manvale sab magan honge.*