bhajan 7:1-17
-
yahova sachcha nyayi hai
-
‘hey yahova, mera nyay kar’ (8)
-
daavid ka shokgeet. ismein woh yahova se un baaton ka zikra karta hai jo binyameen gotra ke koosh ne kahi thi.
7 hey yahova mere parmeshvar, mainne teri panah li hai.+
satanevalon se mujhe bacha le, mujhe chhuda le.+
2 varna woh sher ki tarah meri boti-boti kar deinge,+mujhe utha le jaayenge aur mujhe bachanevala koi na hoga.
3 hey yahova mere parmeshvar, agar galti meri hai,mainne koi anyay kiya hai,
4 kisi ki achhai ka badla burai se diya hai+ya dushman ko bevajah loota hai,*
5 to tu dushman ko na rok,woh mera peechha karke mujhe pakad le,mujhe zameen par raundkar maar daale,meri shaan mitti mein mila de. (sela )
6 hey yahova, uth! apna krodh dikha,mere jhunjhlaye huye dushmanon ke khilaf khada ho,+meri khaatir jaag aur nyay ki maang kar.+
7 raashtra tujhe gher leinaur tu unche par se unke khilaf kaarravai karega.
8 yahova desh-desh ke logon ko faisla sunayega.+
hey yahova, mere nek aur nirdosh chaalchalan ke mutabikmera nyay kar.+
9 dushton ki kartooton ka ant kar de,
magar nek logon ko mehfooz rakh,+kyonki tu nek parmeshvar hai,+ jo dilon ko aur gehri bhaavnaon ko jaanchta hai.*+
10 parmeshvar meri dhaal hai,+ seedhe-sachche manvalon ka uddharkarta hai.+
11 parmeshvar sachcha nyayi hai,+woh har din dushton ko faisla* sunata hai.
12 agar koi pashchatap na kare,+to parmeshvar apni talvar tez karta hai,+apni kaman chadhata hai,+
13 apne ghaatak hathiyar taiyar karta hai,apne jalte teeron se nishana saadhta hai.+
14 use dekh jiski kokh mein dushtata palti hai,use fasad ka garbh thaharta hai, woh jhooth ko janm deta hai.+
15 woh gaddha khodkar use aur gehra karta hai,magar us gaddhe mein woh khud gir jaata hai.+
16 usne jo museebat khadi ki hai woh usi ke sir padegi,+usne jo hinsa ki hai woh khud uska shikar ho jaayega.
17 main yahova ke nyay ke liye uski taareef karoonga,+param-pradhan yahova+ ke naam ki taareef mein geet gaaunga.*+
kai footnote
^ ya shaayad, “jabki mainne use chhod diya hai jo bevajah mera virodh karta hai.”
^ ya “dilon aur gurdon ko parakhta hai.”
^ ya “zabardast tareeke se saza.”
^ ya “sangeet bajaunga.”