bhajan 72:1-20

  • parmeshvar ke thehraye raja ke raaj mein shaanti

    • “nek jan foole-falega” (7)

    • praja, ek saagar se doosre saagar tak (8)

    • zulm se chhutkara (14)

    • dharti par bahotayat mein anaj (16)

    • parmeshvar ke naam ki sada taareef ho (19)

sulaiman ke baare mein. 72  hey parmeshvar, raja ko apne nyay-siddhaant bata,raja ke bete ko apni neki ke baare mein sikha.+   woh tere logon ki pairvi neki se kare,tere deen logon ko nyay dilaye.+   pahad, logon ke liye shaanti laayen,pahadiyaan neki laayen.   logon mein jo deen hain raja unki pairvi* kare,gareebon ke bachchon ko bachaye,magar dhokhebaz ko kuchal de.+   jab tak sooraj rahega,jab tak chaand bana rahega,tab tak log tera dar maaneinge,peedhi-peedhi tak tera dar maaneinge.+   raja paani ki bauchhar jaisa hoga jo kati ghaas par padti hai,us jhadi ki tarah hoga jo dharti ko sinchti hai.+   uske dinon mein nek jan foole-falega,+jab tak chaand bana rahega, tab tak har taraf shaanti rahegi.+   uski praja* ek saagar se doosre saagar tak,mahanadi* se dharti ke chhor tak faili hogi.+   registan ke baashinde use pranam kareinge,uske dushman dhool chaateinge.+ 10  tarsheesh aur dveepon ke raja use nazrana deinge,+ sheeba aur saba ke raja use tohfe deinge.+ 11  sabhi raja use pranam kareinge,saare raashtra uski seva kareinge. 12  woh duhai denevale gareebon ko bachayega,deen-dukhiyon aur unko chhudayega jinka koi madadgar nahin. 13  woh deen-dukhiyon aur gareebon par taras khaayega,gareebon ki jaan bachayega. 14  woh unhein atyachar aur zulm se chhudayega,unka khoon uski nazar mein anmol thehrega. 15  raja ki umra lambee ho, use sheeba ka sona diya jaaye.+ uske liye lagatar duayen ki jaayen,saara din use aasheervad diya jaaye. 16  dharti par bahotayat mein anaj hoga,+pahadon ki chotiyon par anaj ki bharmar hogi. raja ki fasal labanon ke pedon ki tarah bharpoor hogi,+shehron ke log zameen ki ghaas ki tarah khoob badheinge.+ 17  uska naam sada-sarvada bana rahe,+jab tak sooraj rahega tab tak uska naam failta jaaye, uske zariye log aasheeshein paayen,*+desh-desh ke log use sukhi kahein. 18  israel ke parmeshvar yahova ki taareef ho,+uske jaisa karishma karnevala koi nahin.+ 19  uske gauravshali naam ki sada taareef hoti rahe,+uski mahima se poori dharti bhar jaaye.+ aameen, aameen. 20  yahaan yishai ke bete daavid ki prarthnayen khatm hoti hain.+

kai footnote

shaa., “unka nyay.”
ya “uska raaj.”
yaani farat nadi.
iska yah matlab ho sakta hai ki aasheesh paane ke liye unhein bhi kuch kadam uthane honge.