bhajan 93:1-5

  • yahova ka vaibhavshali raaj

    • “yahova raja bana hai!” (1)

    • ‘tu jo hidaytein yaad dilata hai woh bharosemand hain’ (5)

93  yahova raja bana hai!+ woh vaibhav ka libas pehne hai,yahova ne taakat dhaaran ki hai,kamar-patti ki tarah use pehne huye hai. prithvi* ki buniyad mazbooti se kaayam ki gayi hai,yah hilayi nahin jaa sakti.*   teri raajgaddi muddaton pehale mazbooti se kaayam ki gayi thi,+tu hamesha se raha hai.+   hey yahova, nadiyaan ufan rahi hain,nadiyaan ufan rahi hain, garaj rahi hain,nadiyaan lagatar ufan rahi hain, zor se gadgada rahi hain.   unche par virajman yahova pratapi hai,gehre saagar ke garjan se bhi zyada shaktishali hai,+kinaron se takrati unchi-unchi lehron se bhi taakatvar hai.+   tu jo hidaytein yaad dilata hai woh poori tarah bharosemand hain+ hey yahova, pavitrata tere bhavan ko sada ke liye shobha deti hai.+

kai footnote

ya “upjaoo zameen.”
ya “ladkhada nahin sakti.”