bhajan 95:1-11

  • sachchi upasna ke saath aagya maanna

    • “aaj agar tum uski aavaz suno” (7)

    • “apna dil kathor mat karna” (8)

    • “ye mere vishram mein daakhil na honge” (11)

95  aao, hum khushi se yahova ki jayjaykar karein! apne uddhaar ki chattan ke liye jeet ke naare lagayen.+   aao, hum uski maujoodgi mein* jaayen, uska dhanyavad karein,+uske liye geet gaayen, jeet ke naare lagayen.   kyonki yahova mahan parmeshvar hai,sabhi devtaon se bhi bada mahan raja hai.+   prithvi ki gehraiyaan uske haath mein hain,pahadon ki chotiyaan usi ki hain.+   uska banaya saagar usi ka hai,+sookhi zameen usne apne haathon se banayi.+   aao hum uski upasna karein, use dandvat karein,apne bananevale yahova ke saamne ghutne tekein.+   kyonki woh hamara parmeshvar haiaur hum uske log hain jinki woh charvahi karta hai,hum uski bhedein hain jinki woh dekhbhal karta hai.*+ aaj agar tum uski aavaz suno,+   to apna dil kathor mat karna,jaise tumhare purkhon ne mareeba* mein kiya tha,+veerane mein massa* ke din kiya tha.+   unhonne meri pareeksha li thi,+mujhe chunauti di thi, iske baavjood ki unhonne mere kaam dekhe the.+ 10  main 40 saal us peedhi se ghin karta raha aur mainne kaha, “ye aise log hain jinka dil hamesha bhatak jaata hai,inhonne meri raahon ko nahin jaana.” 11  isliye mainne krodh mein aakaar shapath khaayi, “ye mere vishram mein daakhil na honge.”+

kai footnote

shaa., “uske mukh ke saamne.”
shaa., “hum uske haath ki bhedein hain.”
matlab “jhagda karna.”
matlab “pareeksha lena; aazmaish.”