daaniyel 2:1-49
-
raja nabookadnessar ne bechain karnevala sapna dekha (1-4)
-
koi bhi gyaani matlab nahin bata paaya (5-13)
-
daaniyel ne parmeshvar se madad maangi (14-18)
-
rehasya kholne par parmeshvar ki taareef (19-23)
-
daaniyel ne raja ko sapna bataya (24-35)
-
sapne ka matlab (36-45)
-
raaj ka patthar moorat ko choor karega (44, 45)
-
-
raja ne daaniyel ka samman kiya (46-49)
2 nabookadnessar ne apne raaj ke doosre saal kai sapne dekhe aur uska man itna bechain ho gaya+ ki woh so nahin paaya.
2 isliye raja ne aadesh diya ki jaadoo-tona karnevale pujariyon, taantrikon, tona-totka karnevalon aur kasdiyon* ko bulaya jaaye taaki woh raja ko uske sapne batayen. isliye woh sab aaye aur raja ke saamne khade huye.+
3 raja ne unse kaha, “mainne ek sapna dekha hai, main jaanna chahta hoon ki woh sapna kya hai. main jaanne ke liye bahot bechain hoon.”
4 tab kasdiyon ne raja se araami bhasha mein kaha,*+ “hey raja, tu yug-yug jeeye. apne sevkon ko woh sapna bata, fir hum uska matlab batayenge.”
5 raja ne kasdiyon se kaha, “tum log batao ki mainne kya sapna dekha aur uska matlab kya hai. varna tumhare tukde-tukde kar diye jaayenge aur tumhare ghar aam logon ke liye shauchalay* bana diye jaayenge. mera yah faisla atal hai.
6 lekin agar tum mujhe woh sapna aur uska matlab bataoge, to main tumhein inam aur tohfe doonga aur tumhara bahot samman karoonga.+ isliye batao ki mainne kya sapna dekha aur uska matlab kya hai.”
7 unhonne raja se fir kaha, “raja apne sevkon ko woh sapna bataye, fir hum uska matlab samjhayenge.”
8 tab raja ne kaha, “main achhi tarah jaanta hoon ki tum taal-matol kar rahe ho, kyonki tum jaante ho ki mera faisla atal hai.
9 agar tum mujhe woh sapna nahin bataoge to tum sabke liye woh saza tay hai. lekin tum sabne milkar socha hai ki samay ke guzarte shaayad main apna man badal doonga aur tab tak tum mujhe jhoothi baatein batakar dhokhe mein rakhoge. magar aisa kuch nahin honevala. main kehta hoon, tum mujhe woh sapna batao taaki main jaanoon ki tum uska matlab bhi samjha sakoge.”
10 kasdiyon ne raja se kaha, “duniya* mein aisa koi nahin hoga jo raja ki yah maang poori kar sake. aaj tak kisi mahan raja ya raajyapal ne kisi jaadoo-tona karnevale pujari se ya tona-totka karnevale se ya kasdi se aisi baat nahin poochhi.
11 raja jo poochh raha hai woh batana mushkil hai. koi bhi insan raja ko yah baat nahin bata sakta, siva devtaon ke jo nashvar insanon ke beech nahin rehte.”
12 is par raja aag-baboola ho utha. usne hukm diya ki baibilon ke sabhi gyaaniyon ko maar daala jaaye.+
13 jab yah hukm diya gaya aur sabhi gyaaniyon ko maar daala jaanevala tha, to daaniyel aur uske saathiyon ko bhi dhoondha gaya taaki unhein bhi maar daala jaaye.
14 tab daaniyel ne raja ke angrakshakon ke sardar aryok se soojh-boojh aur bahot saavdhani se baat ki, jo baibilon ke gyaaniyon ko maar daalne ke liye nikala tha.
15 usne raja ke adhikari aryok se poochha, “raja ne aisa kada aadesh kyon diya?” tab aryok ne daaniyel ko saari baat batayi.+
16 fir daaniyel raja ke saamne gaya aur usse guzarish kee ki agar raja use thoda vakt de to woh use sapne ka matlab bata sakta hai.
17 fir daaniyel apne ghar gaya aur usne apne saathiyon yaani hananyah, meeshael aur ajaryah ko yah sab bataya.
18 daaniyel ne unse yah prarthna karne ke liye kaha ki swarg ka parmeshvar daya kare aur is rehasya ka khulasa kare taaki baibilon ke baaki gyaaniyon ke saath daaniyel aur uske saathiyon ka naash na kiya jaaye.
19 fir raat ko ek darshan mein daaniyel par woh rehasya khola gaya.+ isliye usne swarg ke parmeshvar ki taareef ki.
20 daaniyel ne kaha,
“parmeshvar ke naam ki yug-yug tak* taareef hoti rahe,kyonki buddhi aur taakat sirf usi ki hain.+
21 woh samay aur daur ko badal deta hai,+raajaon ko pad se hatata hai aur us par thehrata hai,+buddhimanon ko buddhi aur paini samajhvalon ko gyaan deta hai.+
22 woh goodh aur chhipi baatein zahir karta hai,+woh jaanta hai ki andhere mein kya hai,+uske saath raushni ka nivas hai.+
23 hey mere purkhon ke parmeshvar, main tera shukriya ada karta hoon, teri taareef karta hoon,kyonki toone mujhe buddhi aur shakti di hai.
hamne tujhse jo poochha woh toone mujhe bataya hai,raja ko jis baat ki chinta hai woh toone hum par zahir ki hai.”+
24 fir daaniyel aryok ke paas gaya, jise raja ne baibilon ke gyaaniyon ko naash karne ka kaam saunpa tha.+ daaniyel ne aryok se kaha, “baibilon ke kisi bhi gyaani ka naash mat kar. mujhe raja ke paas le chal, main raja ko uske sapne ka matlab bataunga.”
25 aryok fauran daaniyel ko raja ke saamne le gaya aur usse kaha, “mujhe yahooda ke bandi logon mein ek aadmi mila hai+ jo raja ko sapne ka matlab bata sakta hai.”
26 raja ne daaniyel se, jiska naam beltashassar tha,+ kaha, “kya tu vaakai mujhe bata sakta hai ki mainne kya sapna dekha aur uska matlab kya hai?”+
27 daaniyel ne raja se kaha, “raja jo rehasya jaanna chahta hai, use batana kisi bhi gyaani ya taantrik ya tona-totka karnevale pujari ya jyotishi ke bas ki baat nahin hai.+
28 magar jo parmeshvar swarg mein hai woh rehasya kholnevala parmeshvar hai.+ usne raja nabookadnessar ko bataya hai ki aakhiri dinon mein kya honevala hai. ab sun ki toone bistar par kaun-saa sapna aur kaun-se darshan dekhe the.
29 hey raja, jab tu bistar par tha to tu bhavishya mein honevali baaton ke baare mein sochne laga aur rehasya kholnevale parmeshvar ne tujhe bataya ki aage kya honevala hai.
30 mujh par yah rehasya isliye nahin zahir kiya gaya ki main duniya ke sabhi insanon se kahin zyada buddhiman hoon balki mujhe isliye bataya gaya ki main raja ko sapne ka matlab bataun aur tu jaane ki tu man mein kya soch raha tha.+
31 hey raja, toone sapne mein ek vishal moorat dekhi. woh moorat jo tere saamne khadi thi bahot lambee-chaudi thi aur tez chamak rahi thi aur uska roop bhayanak tha.
32 moorat ka sir badhiya sone ka bana tha,+ uska seena aur uske baazoo chaandi ke the,+ pet aur jaanghein tambe ke the,+
33 taangein lohe ki thi,+ pair ka kuch hissa lohe ka aur kuch mitti* ka tha.+
34 tu moorat ko dekhta raha aur fir ek patthar, jo kisi ke haath ka kaata hua nahin tha, apne aap aaya aur seedhe us moorat ke lohe aur mitti ke pairon par laga aur use choor-choor kar diya.+
35 tab loha, mitti, taamba, chaandi aur sona, sab choor-choor ho gaye aur us bhoosi ki tarah ban gaye jo garmiyon mein khalihan mein hoti hai. aur hava unhein aise uda le gayi ki kahin bhi unka naamo-nishan nahin mila. magar woh patthar, jisne moorat ko tod diya tha, ek bada pahad ban gaya jisse poori dharti bhar gayi.
36 yahi woh sapna hai jo toone dekha tha. ab hum raja ko iska matlab batayenge.
37 hey raja, tu jo raajaon ka raja hai, tujhe swarg ke parmeshvar ne raaj,+ shakti, taakat aur shohrat di hai,
38 usne sabhi insanon ko tere adhikar mein kar diya hai fir chahe woh jahaan bhi rehte hon, saath hi maidan ke jaanvaron aur aakash ke panchhiyon ko tere adhikar mein kar diya hai aur sab par tujhe raja thehraya gaya hai,+ tu hi sone ka woh sir hai.+
39 magar tere baad ek aur raaj khada hoga+ jiska darja tujhse kam hoga. uske baad ek teesra raaj khada hoga jo tambe ka hoga aur poori dharti par raaj karega.+
40 fir jo chautha raaj aayega woh lohe ki tarah mazboot hoga.+ jaise loha sab cheezon ko choor-choor kar deta hai, pees daalta hai, haan, jaise loha sab cheezon ke tukde-tukde kar deta hai, vaise hi woh raaj in saari hukoomaton ko choor-choor kar dega aur poori tarah mita dega.+
41 toone dekha ki moorat ke pair aur uski ungliyaan kahin mitti ke aur kahin lohe ke the, usi tarah yah raaj bat jaayega. fir bhi ismein thoda lohe jaisa kadapan reh jaayega, theek jaise toone dekha ki kachchi mitti ke saath loha mila hua tha.
42 jaise pairon ki ungliyaan kahin lohe ki aur kahin mitti ki thi, vaise hi yah raaj ek maamle mein mazboot hoga to doosre mein kamzor.
43 jaise toone dekha ki kachchi mitti aur loha mila hua tha, vaise hi is raaj ke kuch hisse logon* se mile honge, magar woh ek-doosre se nahin jude raheinge theek jaise loha mitti se nahin judta.
44 un raajaon ke dinon mein swarg ka parmeshvar ek aisa raaj kaayam karega+ jo kabhi naash nahin kiya jaayega.+ woh raaj kisi aur* ke haath mein nahin kiya jaayega.+ woh raaj in saari hukoomaton ko choor-choor karke unka ant kar daalega+ aur sirf vahi hamesha tak kaayam rahega,+
45 theek jaise toone dekha ki pahad mein se ek patthar bina kisi ke haath ke kaate aaya aur usne lohe, tambe, mitti, chaandi aur sone ko choor-choor kar daala.+ mahan parmeshvar ne raja ko bataya hai ki bhavishya mein kya hoga.+ yah sapna sachcha hai aur iska jo matlab bataya gaya hai woh bharose ke laayak hai.”
46 tab raja nabookadnessar daaniyel ke saamne munh ke bal zameen par gira aur usne daaniyel ka samman kiya. usne aadesh diya ki daaniyel ko bheint di jaaye aur uske aage dhoop jalaya jaaye.
47 raja ne daaniyel se kaha, “vaakai, tumhara parmeshvar sab ishvaron se mahan ishvar hai, sab raajaon ka maalik hai aur rehasya kholnevala parmeshvar hai, yahi vajah hai ki tu yah rehasya bata paaya.”+
48 fir raja ne daaniyel ka pad aur uncha kar diya, use kai behtareen tohfe diye aur baibilon ke poore praant* ka shaasak aur baibilon ke sabhi gyaaniyon ka mukhya prashasak thehraya.+
49 aur daaniyel ki guzarish par raja ne shadrak, meshak aur abednago+ ko baibilon ke praant* ke prashasan ke adhikari thehraya. magar daaniyel raja ke darbar mein hi kaam karta raha.
kai footnote
^ yaani aise logon ka samooh jo jyotish-vidya aur nakshatra-vidya mein maahir the.
^ mool paath mein daan 2:4kha se lekar 7:28 tak ka hissa araami bhasha mein likha gaya tha.
^ ya shaayad, “koode ki jagah; goo-gobar ka dher.”
^ ya “sookhi zameen.”
^ ya “hamesha se hamesha tak.”
^ ya “bhatthi mein pakayi gayi (ya saanche mein dhaali gayi) mitti.”
^ ya “insanon ke vanshajon,” yaani aam log.
^ ya “doosre logon.”
^ ya “zila adhikar-shetra.”
^ ya “zila adhikar-shetra.”