filippiyon ke naam chitthi 3:1-21

  • shareer par bharosa nahin karte (1-11)

    • maseeh ki khaatir sab baaton ko bekar samjha (7-9)

  • khud ko khinchte huye lakshya ki taraf badhna (12-21)

    • swarg ki naagrikta (20)

3  aakhir mein mere bhaaiyo, tum prabhu mein khushi manate raho.+ tumhein vahi baatein fir se likhna mere liye pareshani ki baat nahin hai, magar inse tumhari hi hifazat hogi.  ashuddh logon* se khabardar raho, nuksan pahunchnevalon se khabardar raho aur jo shareer ke angon ki kaat-koot karte hain, unse khabardar raho.+  isliye ki hum woh hain jinka sahi maaynon mein khatna hua hai,+ jo parmeshvar ki pavitra shakti se pavitra seva karte hain aur maseeh yeeshu par garv karte hain+ aur shareer par bharosa nahin karte.  lekin agar kisi ke paas shareer par bharosa karne ki vajah hai, to sabse badhkar mere paas hai. agar koi aur aadmi sochta hai ki uske paas shareer par bharosa karne ki vajah hai to usse bhi badhkar mere paas hain:  aathvein din mera khatna hua,+ main israel raashtra ke binyameen gotra ka hoon, janm se ibrani hoon aur mere maata-pita bhi ibrani the.+ kaanoon ke hisab se main ek fareesi hoon.+  jahaan tak josheela hone ki baat hai, main mandli par zulm kiya karta tha.+ jahaan tak kaanoon se nek thaharne ki baat hai, mainne khud ko nirdosh saabit kiya hai.  fir bhi jo baatein mere faayde ki thi, unhein mainne maseeh ki khaatir bekar samjha hai.*+  yahi nahin, main apne prabhu maseeh yeeshu ke baare mein us gyaan ki khaatir jiska koi mol nahin lagaya jaa sakta, sab baaton ko bekar samajhta hoon. usi ki khaatir mainne sab baaton ko thukra diya hai aur main unhein dher saara kooda samajhta hoon taaki maseeh ko paa sakoon  aur uske saath ekta mein paaya jaaun aur is vajah se nahin ki main kaanoon maankar nek thehra hoon balki maseeh par vishvas karne ki vajah se parmeshvar mujhe nek samajhta hai.+ 10  mera lakshya yahi hai ki main maseeh ko aur uske dobara zinda hone ki taakat ko jaanoon+ aur uske jaisi dukh-takaleefein sahoon+ aur uske jaisi maut marne ke liye khud ko de doon+ 11  taaki main kisi tarah un logon mein se houn jo pehale zinda kiye jaayenge.+ 12  aisi baat nahin ki main abhi se yah inam paa chuka hoon ya main paripoorna ho chuka hoon, balki main purzor koshish kar raha hoon+ taaki main har haal mein woh inam paa sakoon jiske liye maseeh yeeshu ne mujhe chuna hai.+ 13  bhaaiyo, main apne baare mein yah nahin maanta ki main woh inam paa chuka hoon, magar ek baat pakki hai: jo baatein peechhe reh gayi hain, unhein bhoolkar+ main khud ko khinchta hua un baaton ki taraf badhta jaa raha hoon jo aage rakhi hain.+ 14  aur parmeshvar ne maseeh yeeshu ke zariye oopar ka jo bulva diya hai,+ us inam+ ke lakshya tak pahunchne ke liye main purzor koshish kar raha hoon. 15  isliye hum sabhi jo praudh* hain,+ hamari soch aur hamara nazariya aisa hi ho. aur agar tumhara jhukav kisi aur taraf hoga to parmeshvar tum par zahir kar dega ki sahi soch aur nazariya kya hai. 16  aur hamne jis had tak tarakki ki hai, aao hum isi raah par kaayde se chalte rahein. 17  bhaaiyo, tum sab milkar meri misal par chalo+ aur un par gaur karte raho jo us misal ke mutabik chalte hain jo hamne tumhare liye rakhi hai. 18  isliye ki aise kai hain jinka main pehale aksar zikra kiya karta tha lekin ab unka zikra karte vakt meri aankhon mein aansoo aa jaate hain, kyonki woh maseeh ke yaatna ke kaath* ke dushman ban gaye hain. 19  unka anjam vinash hai aur unka pet hi unka ishvar hai aur jin baaton par unhein sharminda hona chahiye, un par woh ghamand karte hain aur dharti ki baaton ke baare mein sochte rehte hain.+ 20  magar hamari naagrikta+ swarg ki hai+ aur usi jagah se hum ek uddharkarta yaani prabhu yeeshu maseeh ka besabrai se intazar kar rahe hain.+ 21  woh apni us mahashakti se, jiske zariye woh sabkuch apne vash mein kar sakta hai,+ hamare tuchh shareer ko badalkar inhein apne shareer ki tarah mahima se bhar dega.+

kai footnote

shaa., “kutton.”
ya shaayad, “khushi-khushi chhod diya hai.”
ya “sayane aur samajhdar.”
shabdavli dekhein.