galatiyon ke naam chitthi 4:1-31

  • ab gulam nahin, bete hain (1-7)

  • galatiyon ke liye paulus ki fikra (8-20)

  • haajira aur saara; do karar (21-31)

    • oopar ki yarooshalem aazad hai, hamari maa hai (26)

4  lekin main yah kehta hoon ki jab tak vaaris bachcha rehta hai, usmein aur gulam mein koi fark nahin hota iske baavjood ki woh sab cheezon ka maalik hai.  woh apne pita ke thehraye din tak nigrani karnevalon aur prabandhakon ke adheen rehta hai.  usi tarah, hum bhi jab bachche the to duniya ki maamooli baaton ke gulam the.+  magar jab vakt poora hua to parmeshvar ne apna beta bheja jo ek aurat se paida hua+ aur jo kaanoon ke adheen tha.+  parmeshvar ne yah isliye kiya ki jo kaanoon ke adheen hain unhein khareedkar chhuda sake+ aur hamein beton ke naate god le sake.+  tum bete ho isliye parmeshvar ne vahi pavitra shakti jo uske bete ko di gayi thi,+ hamare dilon mein bheji hai+ aur yah “abba,* pita!” pukarti hai.+  to ab tum gulam nahin rahe balki bete ho. aur agar bete ho to parmeshvar ne tumhein vaaris bhi banaya hai.+  jab tum parmeshvar ko nahin jaante the, tab tum unki gulami karte the jo ishvar hain hi nahin.  magar ab jab tum parmeshvar ko jaan gaye ho ya yoon kahein ki ab parmeshvar tumhein jaanta hai, to fir tum kyon duniya ki un maamooli baaton ki taraf mud rahe ho jo gayi-guzri aur bekar hain+ aur kyon dobara unki gulami karna chahte ho?+ 10  tum bade dhyan se khaas din, maheene, samay aur saal manate ho.+ 11  mujhe dar hai ki mainne tumhare liye jo kadi mehnat ki hai, woh bekar to nahin gayi. 12  bhaaiyo, main bhi pehale vaisa hi tha jaise aaj tum ho. magar main ab vaisa nahin hoon aur tumse binti karta hoon ki tum bhi mere jaise bano.+ tumne mere saath kuch bura nahin kiya tha. 13  magar tum jaante ho ki apni beemari ki vajah se mujhe pehali baar tumhein khushkhabri sunane ka mauka mila tha. 14  aur haalanki meri beemari tumhare liye ek pareeksha thi fir bhi tumne mujhe tuchh nahin samjha, na hi mujhse ghin ki.* magar tumne mujhe parmeshvar ke ek swargdoot ki tarah balki maseeh yeeshu ki tarah sweekar kiya. 15  ab tumhari woh khushi kahaan chali gayi? main is baat ka gavah hoon ki agar mumkin hota to tumne apni aankhein nikaalkar mujhe de di hotin.+ 16  kya ab main tumhara dushman ban gaya hoon kyonki main sach bol raha hoon? 17  woh tumhara dil jeetne ki poori koshish kar rahe hain magar unke irade nek nahin hain. woh tumhein mujhse door karna chahte hain taaki tum bade josh ke saath unke peechhe ho jaao. 18  agar koi nek irade se tumhara dil jeetne ki koshish kare to yah achhi baat hai. woh aisa na sirf us samay karein jab main tumhare beech hota hoon balki hamesha karein. 19  mere pyare bachcho,+ jab tak maseeh tumhare andar taiyar nahin ho jaata,* tab tak mujhe tumhare liye fir se prasav-peeda hoti rahegi. 20  kaash! main abhi tumhare paas hota aur tumse pyar se baat karta kyonki main tumhari vajah se badi uljhan mein hoon. 21  tum jo kaanoon ke adheen hona chahte ho, mujhe batao ki kya tumne nahin suna ki kaanoon kya kehta hai? 22  misal ke liye, likha hai ki abraham ke do bete huye the, ek daasi se+ aur doosra aazad aurat se.+ 23  magar jo daasi se tha woh swabhavik taur par paida hua+ aur doosra aazad aurat se vaade ke mutabik paida hua.+ 24  in baaton ke peechhe ek matlab chhipa hai.* in do aurton ka matlab do karar hain. ek seenai pahad+ par kiya gaya tha jo gulami karne ke liye bachche paida karta hai aur yah haajira hai. 25  haajira maano arab ka seenai pahad hai+ aur aaj ki yarooshalem ke samaan hai kyonki yarooshalem apne bachchon samet gulam hai. 26  magar oopar ki yarooshalem aazad hai aur woh hamari maa hai. 27  kyonki likha hai, “hey baanjh aurat, tu jiske bachche nahin hote, khushiyaan mana. tu jise bachcha janne ki peeda nahin hui, khushi se jayjaykar kar. kyonki chhodi hui aurat ke bachche us aurat ke bachchon se zyada hain, jiska pati uske saath hai.”+ 28  bhaaiyo, tum bhi ishaak ki tarah woh bachche ho jo vaade ke mutabik paida huye hain.+ 29  magar jis tarah swabhavik tareeke se paida honevala, pavitra shakti se paida honevale par zulm karne laga,+ vaisa hi aaj hai.+ 30  magar shastra kya kehta hai? “is daasi aur iske ladke ko ghar se nikaal de kyonki daasi ka ladka aazad aurat ke bete ke saath vaaris hargiz nahin banega.”+ 31  isliye bhaaiyo, hum daasi ke nahin balki aazad aurat ke bachche hain.

kai footnote

yah ibrani ya araami bhasha ka shabd hai jiska matlab hai, “hey pita!”
ya “na hi mujh par thooka.”
ya “aakaar nahin leta.”
ya “yah ek laashanik naatak hai.”