galatiyon ke naam chitthi 6:1-18
6 bhaaiyo, ho sakta hai ki koi insan galat kadam uthaye aur use is baat ka ehsas na ho. aise mein, tum jo parmeshvar ki thehrayi yogyatayen rakhte ho, komalta ki bhaavna+ se aise insan ko sudhaarne ki koshish karo. magar tum khud par bhi nazar rakho+ ki kahin tum fuslaye na jaao.+
2 ek-doosre ka bhaar uthate raho+ aur is tarah maseeh ka kaanoon maano.+
3 agar koi kuch na hone par bhi khud ko kuch samajhta hai,+ to woh apne aap ko dhokha de raha hai.
4 magar har koi apne kaam ki jaanch kare.+ tab woh apne hi kaam se khushi paayega, na ki doosron se khud ki tulna karke.+
5 isliye ki har koi apna bojh* khud uthayega.+
6 itna hi nahin, jise parmeshvar ka vachan sikhaya* jaata hai, woh us insan ko sab achhi cheezon ka saajhedar banaye jo use sikhata hai.*+
7 dhokhe mein na raho: parmeshvar ki khilli nahin udayi jaa sakti. ek insan jo bota hai, vahi kaatega bhi.+
8 kyonki jo shareer ke liye bota hai woh shareer se vinash ki fasal kaatega, magar jo pavitra shakti ke liye bota hai woh pavitra shakti se hamesha ki zindagi ki fasal kaatega.+
9 isliye aao hum badhiya kaam karne mein haar na maanein kyonki agar hum himmat na haarein,* to vakt aane par zaroor fal paayengi.+
10 isliye jab tak hamare paas mauka* hai, aao hum sabke saath bhalai karein, khaaskar unke saath jo vishvas mein hamare bhaai-behen hain.
11 dekho, mainne kaise bade-bade aksharon mein apne hi haath se tumhein likha hai.
12 woh sabhi jo baahri dikhave se insanon ko khush karna chahte hain,* woh hi tumhara khatna karvane ke liye tum par dabav daalne ki koshish kar rahe hain, sirf isliye ki maseeh ke yaatna ke kaath* ki vajah se unhein zulm na sehna pade.
13 isliye ki jo khatna karvate hain woh khud kaanoon ko nahin maante,+ magar tumhara khatna isliye karvana chahte hain taaki tumhare shareer ki dasha par shekhi maar sakein.
14 lekin main prabhu yeeshu maseeh ke yaatna ke kaath* ke siva kisi aur baat par shekhi nahin maaroonga.+ maseeh ke zariye duniya mere liye mar chuki hai* aur main duniya ke liye mar chuka hoon.
15 na to khatna karvana kuch maayne rakhta hai, na hi khatna na karvana,+ magar nayi srishti maayne rakhti hai.+
16 un sabhi par jo is niyam ke mutabik kaayde se chalte hain, yaani parmeshvar ke israel par daya ho aur use shaanti mile.+
17 ab se main yah kehta hoon, koi mere liye mushkilein na khadi kare kyonki main apne shareer par woh daag liye firta hoon, jo is baat ki nishani hain ki main yeeshu ka ek daas hoon.+
18 bhaaiyo, tum jo badhiya jazba dikhate ho us vajah se prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa tum par bani rahe. aameen.
kai footnote
^ ya “apni zimmedari ka bojh.”
^ ya “zabani taur par sikhaya.”
^ ya “use zabani taur par sikhata hai.”
^ ya “hum na thakein.”
^ shaa., “thehraya hua samay.”
^ ya “jo baahar se achha dikhna chahte hain.”
^ ya “kaath par maar daali gayi hai.”