kulussiyon ke naam chitthi 4:1-18
4 hey maaliko, apne daason ke saath neki aur imandari se pesh aao, yah jaante huye ki swarg mein tumhara bhi ek maalik hai.+
2 prarthna mein lage raho+ aur is maamle mein jaagrook raho aur dhanyavad dete raho.+
3 hamare liye bhi prarthna karo+ ki parmeshvar hamare liye mauke ka darvaza khol de taaki hum vachan ka prachar kar sakein aur maseeh ke baare mein pavitra rehasya bata sakein, kyonki main isi vajah se kaid mein hoon.+
4 aur yah bhi prarthna karo ki main iske baare mein saaf-saaf samjha sakoon, theek jaise mujhe samjhana chahiye.
5 apne vakt ka sahi istemal karte huye,* baaharvalon ke saath buddhimani se pesh aao.+
6 tumhare bol hamesha man ko bhaanevale aur salone*+ hon. tab tumhein har kisi ko sahi tarah se javab dena aa jaayega.+
7 mera pyara bhaai aur prabhu mein vishvasyogya sevak aur sangi daas tukhikus+ tumhein mere baare mein saari khabar dega.
8 main use tumhare paas isliye bhej raha hoon taaki tum hamara haal-chaal jaan sako aur woh tumhare dilon ko dilasa de sake.
9 main uske saath apne vishvasyogya aur pyare bhaai unesimus+ ko bhej raha hoon jo tumhare yahaan ka hai. woh donon tumhein yahaan ke halat ke baare mein poori jaankari deinge.
10 aristarkhus+ jo mere saath kaid hai, tumhein namaskar kehta hai aur markus+ bhi jo baranbas ka bhaai lagta hai tumhein namaskar kehta hai (jiske baare mein tumhein hidaytein mili thi ki agar woh tumhare paas aaye to uska swagat karna)+
11 aur yeeshu bhi jo yustus kehlata hai tumhein namaskar kehta hai. ye un logon mein se hain jinka khatna hua hai. sirf ye log hi parmeshvar ke raaj ke liye mere sahkarmi hain aur inse mujhe bahot dilasa mila hai.*
12 maseeh yeeshu ka daas, ipafras+ jo tumhare yahaan ka hai, tumhein namaskar kehta hai. woh hamesha tumhari khaatir ji-jaan se prarthna karta hai taaki tum aakhir mein praudh* logon ke naate mazboot khade raho aur parmeshvar ki saari marzee ke baare mein tumhein pakka yakeen ho.
13 haan, main uska gavah hoon ki woh tumhari khaatir aur jo laudeekiya aur heerapulis mein hain, unki khaatir bada jatan karta hai.
14 hamara pyara bhaai, vaid luka+ tumhein namaskar kehta hai aur demas+ bhi.
15 laudeekiya ke bhaaiyon ko aur behen numfas aur uske ghar mein ikattha honevali mandli ko mera namaskar.+
16 jab yah chitthi tumhare beech padhi jaaye, to iske baad ise laudeekiya mandli mein bhi padhvane ka intazam karna+ aur laudeekiya se aayi chitthi tum bhi padh lena.
17 aur arkhippus+ se kehna, “tu is baat ka dhyan rakhna ki prabhu mein seva ki jo zimmedari toone sweekar ki thi, use tu poora kare.”
18 main paulus khud apne haath se tumhein namaskar likh raha hoon.+ mere kaid ki zanjeeron ko yaad rakhna.+ parmeshvar ki maha-kripa tum par hoti rahe.
kai footnote
^ shaa., “tay vakt ko khareed lo.”
^ shaa., “namak se male huye.”
^ ya “ye meri himmat bandhnevale madadgar hain.”
^ ya “sayane aur samajhdar.”