markus ke mutabik khushkhabri 13:1-37
13 jab woh mandir se baahar nikaal raha tha, to uske chelon mein se ek ne usse kaha, “guru, dekh! ye kitne badhiya patthar hain, kitni shaandar imartein hain!”+
2 lekin yeeshu ne usse kaha, “ye jo aaleeshan imartein tu dekh raha hai, inka ek bhi patthar doosre patthar ke oopar hargiz na bachega jo dhaaya na jaaye.”+
3 jab woh jaitoon pahad par baitha tha jahaan se mandir nazar aata tha tab patras, yakub, yuhanna aur andriyas ne akele mein usse poochha,
4 “hamein bata, ye sab baatein kab hongi aur jab inka aakhiri vakt paas aa raha hoga to uski kya nishani hogi?”+
5 tab yeeshu ne unse kaha, “khabardar raho ki koi tumhein gumrah na kare.+
6 bahot-se log aayenge aur mera naam lekar daava kareinge, ‘main vahi hoon’ aur bahoton ko gumrah kareinge.
7 jab tum yuddhon ka shorgul aur yuddhon ki khabrein suno, to ghabra na jaana. in sabka hona zaroori hai magar tabhi ant na hoga.+
8 kyonki ek raashtra doosre raashtra par aur ek raajya doosre raajya par hamla karega.+ ek-ke-baad-ek kai jagah bhookamp honge aur akaal bhi padeinge.+ ye baatein prasav-peeda ki tarah museebaton ki sirf shurooat hongi.+
9 magar tum chaukanne rehna. log tumhein nichli adalaton ke havale kar deinge+ aur tum sabha-gharon mein peete jaaoge.+ tum meri vajah se raajyapalon aur raajaon ke saamne kathghre mein pesh kiye jaaoge taaki unhein gavahi mile.+
10 aur yah zaroori hai ki pehale sab raashtron mein khushkhabri ka prachar kiya jaaye.+
11 magar jab woh tumhein adalat ke havale karne le jaa rahe honge, to pehale se chinta mat karna ki hum kya kaheinge. par jo kuch tumhein us ghadi bataya jaaye, vahi kehna kyonki bolnevale tum nahin balki pavitra shakti hogi.+
12 yahi nahin, bhaai, bhaai ko marvane ke liye saunp dega aur pita apne bachche ko. bachche apne maa-baap ke khilaf khade honge aur unhein marva daaleinge.+
13 mere naam ki vajah se sab log tumse nafrat kareinge.+ magar jo ant tak dheeraj dharega,*+ vahi uddhaar paayega.+
14 lekin jab tumhein woh ujaadnevali ghinauni cheez vahaan khadi nazar aaye+ jahaan use nahin khada hona chahiye (padhnevala samajh istemal kare), tab jo yahoodiya mein hon woh pahadon ki taraf bhaagna shuroo kar dein.+
15 jo aadmi ghar ki chhat par ho woh neeche na utre, na hi kuch lene ke liye apne ghar ke andar jaaye.
16 jo aadmi khet mein ho woh apna choga lene ya un cheezon ko lene vaapas na laute jo peechhe chhoot gayi hain.
17 jo garbhvati hongi aur jo bachche ko doodh pilati hongi, unke liye woh din kya hi bhayanak honge!+
18 prarthna karte raho ki aisa sardiyon ke mausam mein na ho.
19 kyonki un dinon aisa sankat aayega+ jaisa srishti ki shurooat se, jo parmeshvar ne rachi hai, na ab tak aaya hai aur na fir kabhi aayega.+
20 darasal agar yahova* woh din na ghataye, to koi bhi nahin bach paayega. magar chune huon ki khaatir jinhein parmeshvar ne chuna hai, usne woh din ghataye hain.+
21 un dinon agar koi tumse kahe, ‘dekho! maseeh yahaan hai,’ ‘dekho! woh vahaan hai,’ to yakeen na karna.+
22 kyonki jhoothe maseeh aur jhoothe bhavishyavaktaa uth khade honge+ aur chamatkar aur ajoobe dikhayenge taaki ho sake to chune huon ko bhi behka lein.
23 isliye tum chaukanne rehna.+ mainne tumhein sab baatein pehale se bata di hain.
24 magar un dinon, us sankat ke baad sooraj andhiyara ho jaayega, chaand apni raushni nahin dega,+
25 aakash se taare gir padeinge aur aakash ki shaktiyaan hilayi jaayengi.
26 fir woh insan ke bete+ ko poori shakti aur mahima ke saath baadlon mein aata dekheinge.+
27 fir woh swargdooton ko bhejega aur prithvi ke chhor se lekar aakash ke chhor tak, chaaron dishaon se apne chune huon ko ikattha karega.+
28 ab anjeer ke ped ki misal se yah baat seekho: jaise hi uski nayi daali naram ho jaati hai aur us par pattiyaan aane lagti hain, tum jaan lete ho ki garmiyon ka mausam paas hai.+
29 usi tarah, jab tum ye baatein hoti dekho, to jaan lena ki insan ka beta paas hai balki darvaze par hi hai.+
30 main tumse sach kehta hoon, jab tak ye saari baatein poori na ho jaayen, tab tak yah peedhi hargiz nahin mitegi.+
31 aakash aur prithvi mit jaayenge,+ magar mere shabd kabhi nahin miteinge.+
32 us din ya us ghadi ke baare mein koi nahin jaanta, na swarg ke doot, na beta balki pita jaanta hai.+
33 jaagte raho, aankhon mein nind na aane do+ kyonki tum nahin jaante ki tay kiya hua vakt kab aayega.+
34 yah aisa hai maano ek aadmi pardes jaa raha ho. ghar chhodne se pehale woh apne daason ko adhikar deta hai+ aur harek ko uska kaam saunpta hai aur darban ko jaagte rehne ka hukm deta hai.+
35 isliye jaagte raho kyonki tum nahin jaante ki ghar ka maalik kab aa raha hai,+ din dhalne par, aadhi raat ko, murge ke baang dene ke vakt ya subah.+
36 kahin aisa na ho ki jab woh achanak aaye, to tumhein sota hua paaye.+
37 magar jo main tumse kehta hoon vahi sab se kehta hoon, jaagte raho.”+