markus ke mutabik khushkhabri 4:1-41

    • beej bonevala (1-9)

    • yeeshu ne misalein kyon di (10-12)

    • beej bonevale ki misal samjhayi (13-20)

    • deepak tokri ke neeche nahin rakha jaata (21-23)

    • jis naap se tum naapte ho (24, 25)

    • beej bonevala sota hai (26-29)

    • raai ka daana (30-32)

    • misalein deta tha (33, 34)

  • yeeshu aandhi ko shaant karta hai (35-41)

4  ek baar fir woh jheel ke kinare sikhane laga. vahaan uske paas logon ki badi bheed ikattha ho gayi. isliye woh ek naav par chadhkar baith gaya aur kinare se thodi door naav mein baithkar bheed ko sikhane laga. saari bheed kinare par thi.+  tab woh unhein misalein dekar kai baatein sikhane laga.+ usne kaha,+  “dhyan se suno. ek beej bonevala beej bone nikala.+  jab woh bo raha tha, to kuch beej raaste ke kinare gire aur panchhi aakaar unhein khaa gaye.  kuch beej aisi zameen par gire jahaan zyada mitti nahin thi, kyonki mitti ke neeche chattan thi. in beejon ke ankur fauran dikhayi dene lage kyonki vahaan mitti gehri nahin thi.+  lekin jab sooraj nikala, to woh jhulas gaye aur jad na pakadne ki vajah se sookh gaye.  kuch aur beej kaanton mein gire aur kanteele paudhon ne badhkar unhein daba diya aur unhonne fal nahin diye.+  magar kuch aur beej badhiya mitti par gire, woh uge aur badhe aur unmein fal aane lage. kisi mein 30 guna, kisi mein 60 guna aur kisi mein 100 guna.”+  fir usne kaha, “kaan lagakar suno ki main kya kah raha hoon.”+ 10  jab yeeshu akela tha, to uske 12 chele aur baaki log usse in misalon ke baare mein saval karne lage.+ 11  yeeshu ne unse kaha, “parmeshvar ke raaj ke pavitra rehasya+ ki samajh tumhein di gayi hai, magar baaharvalon ke liye ye sirf misalein hain+ 12  taaki woh dekhte huye bhi na dekh sakein aur sunkar bhi iske maayne na samajh sakein. woh kabhi palatkar nahin aayenge aur maafi nahin paayenge.”+ 13  fir usne kaha, “jab tum yah misal nahin samajhte, to baaki sab misalon ka matlab kaise samjhoge? 14  bonevala vachan bota hai.+ 15  jo raaste ke kinare boye gaye, woh aise log hain jo vachan sunte hain, magar fauran shaitan aata hai+ aur unmein boya gaya vachan le jaata hai.+ 16  vaise hi jo chattani zameen par boye gaye, woh aise log hain jo vachan sunte hi use khushi-khushi maante hain,+ 17  magar unmein jad nahin hoti isliye woh thode samay ke liye rehte hain. fir jaise hi vachan ki vajah se un par museebatein aati hain ya zulm hota hai, woh vachan par vishvas karna chhod dete hain.* 18  kuch aur beej kaanton mein boye gaye. woh aise log hain jo vachan sunte to hain,+ 19  magar is zamane* ki zindagi ki chintayen+ aur dhokha denevali paise ki taakat+ aur baaki sab cheezon ki chahat+ unmein sama jaati hai aur vachan ko daba deti hai aur woh fal nahin dete. 20  aakhir mein, jo beej badhiya mitti mein boye gaye, woh aise log hain jo vachan sunkar use khushi-khushi maante hain aur fal dete hain, koi 30 guna, koi 60 guna aur koi 100 guna.”+ 21  fir yeeshu ne unse kaha, “kya koi deepak jalakar use tokri* se dhakta hai ya palang ke neeche rakhta hai? kya woh use laakaar deevat par nahin rakhta?+ 22  aisa kuch bhi nahin jo chhipa hai aur khola na jaaye. aisi koi bhi cheez nahin jise badi saavdhani se chhipaya gaya ho aur jo nikaalkar khule mein na aaye.+ 23  kaan lagakar suno ki main kya kah raha hoon.”+ 24  fir yeeshu ne unse kaha, “tum jo sunte ho us par dhyan do.+ jis naap se tum naapte ho, usi se tumhare liye naapa jaayega balki tumhein usse bhi zyada diya jaayega. 25  kyonki jiske paas hai, use aur diya jaayega.+ lekin jiske paas nahin hai, usse woh bhi le liya jaayega jo uske paas hai.”+ 26  fir usne kaha, “parmeshvar ka raaj aisa hai jaise koi aadmi khet mein beej chhitrata hai. 27  woh aadmi har raat sota hai aur subah jaagta hai. is dauran beej mein ankur futte hain aur apne aap badhte hain lekin kaise, yah woh nahin jaanta. 28  zameen apne aap dheere-dheere fal deti hai, pehale ankur paayenge hai, fir danthal aur aakhir mein taiyar daane ki baalein. 29  fir jaise hi fasal pak jaati hai, woh hansiya chalata hai kyonki katai ka vakt aa gaya hai.” 30  fir usne kaha, “hum parmeshvar ke raaj ko kiske jaisa batayen ya kya misal dekar ise samjhaayen? 31  woh raai ke daane ki tarah hai. jab yah daana zameen mein boya jaata hai to beejon mein sabse chhota hota hai.+ 32  lekin bone ke baad jab woh ugta hai, to sabhi sabziyon ke paudhon se bada ho jaata hai. usmein aisi badi-badi daaliyaan nikaaltee hain ki uski chhaanv mein aakash ke panchhi aakaar basera karte hain.” 33  to is tarah ki kai misalein dekar,+ jitna woh samajh sakte the, yeeshu unko parmeshvar ka vachan sunaya karta tha. 34  vaakai, woh bagair misal ke logon se baat nahin karta tha, magar apne chelon ko akele mein un sab baaton ka matlab samjhata tha.+ 35  us din jab shaam dhal gayi to usne chelon se kaha, “aao hum jheel ke us paar chalein.”+ 36  isliye bheed ko vida karne ke baad, woh use naav mein le gaye. uski naav ke saath doosri naavein bhi thi.+ 37  ab ek zordar aandhi chalne lagi aur lehrein naav se itni zor se takrane lagin ki naav paani se bharne par thi.+ 38  magar yeeshu naav ke pichhle hisse mein ek takiye par sir rakhkar so raha tha. chelon ne use jagaya aur kaha, “guru, kya tujhe fikra nahin ki hum naash honevale hain?” 39  tab woh utha aur usne aandhi ko daanta aur lehron se kaha, “shshsh! khaamosh ho jaao!”+ tab aandhi tham gayi aur bada sannata chhaa gaya. 40  yeeshu ne unse kaha, “tum kyon itna dar rahe ho?* kya tummein ab bhi vishvas nahin?” 41  magar unmein ajeeb-saa dar sama gaya aur woh ek-doosre se kehne lage, “aakhir yah kaun hai? aandhi aur samundar tak iska hukm maante hain!”+

kai footnote

shaa., “to woh thokar khaate hain.”
ya “duniya ki vyavastha.” shabdavli dekhein.
ya “naapne ki tokri.”
ya “tumhare dil kyon kaanp rahe hain?”