neetivachan 10:1-32

  • buddhiman beta pita ko khushi deta hai (1)

  • mehantee haath ameer banate hain (4)

  • bahot bolne par galtiyaan hoti hain (19)

  • yahova ki aasheesh ameer banati hai (22)

  • yahova ka dar zindagi badhata hai (27)

10  sulaiman ke neetivachan.+ buddhiman beta apne pita ko khushi deta hai,+lekin moorkh apni maa ko dukh deta hai.   dushtata se kamai daulat kisi kaam nahin aati,neki hi ek insan ko maut se bachati hai.+   yahova nek insan ko bhookhon marne nahin deta,+magar dusht ki laalsaon par paani fer deta hai.   aalsi haath insan ko gareeb banate hain,+magar mehantee haath use ameer banate hain.+   jo beta garmiyon mein fasal batorta hai, woh androoni samajh dikhata hai,lekin jo beta katai ke samay gehri nind sota hai, use sharminda hona padta hai.+   nek jan ke sir par aasheeshon ki bauchhar hoti hai,+lekin dusht ki baaton mein hinsa chhipi hoti hai.   nek jan ko yaad karke* duayen di jaati hain,+lekin dusht ka naam mit jaata hai.+   jo buddhiman hai woh aadesh maanta hai,+lekin jo moorkhta ki baatein karta hai, woh tabah hota hai.+   nirdosh chaal chalnevala mehfooz rehta hai,+magar tedhi chaal chalnevala pakda jaata hai.+ 10  jo dhokha dene ke liye aankh maarta hai, woh dukh pahunchata hai+aur jo moorkhta ki baatein karta hai, woh kuchla jaata hai.+ 11  nek jan ki baatein jeevan ka sota hai,+lekin dusht ki baaton mein hinsa chhipi hoti hai.+ 12  nafrat jhagde paida karti hai,lekin pyar saare apradhon ko dhak deta hai.+ 13  paini samajh rakhnevale ke honthon par buddhi paayi jaati hai,+lekin jismein samajh nahin uski peeth par chhadi padti hai.+ 14  buddhiman apne gyaan ka bhandar bharta rehta hai,+magar moorkh apni baaton se barbadi laata hai.+ 15  rais ki daulat uske liye kileband shehar hai. gareeb ki gareebi use barbad kar deti hai.+ 16  nek jan ke kaam jeevan ki or le jaate hain,lekin dusht ki kamai paap ki or le jaati hai.+ 17  jo shiksha kabool karta hai woh doosron ko jeevan ki raah dikhata hai,*lekin jo daant ko ansuna karta hai, woh doosron ko gumrah karta hai. 18  jo nafrat chhipaye rakhta hai, woh jhooth bolta hai+aur jo doosron ko badnam karne ke liye baatein* failata hai, woh moorkh hai. 19  jahaan bahot baatein hoti hain, vahaan apradh bhi hota hai,+lekin jo zaban par kaaboo rakhta hai, woh soojh-boojh se kaam leta hai.+ 20  nek jan ki baatein badhiya chaandi jaisi hain,+magar dusht ki soch* ka koi mol nahin. 21  nek jan ki baatein bahoton ko poshan deti hain,*+lekin moorkh, samajh na hone ki vajah se mar jaata hai.+ 22  yahova ki aasheesh hi ek insan ko ameer banati hai+aur woh uske saath koi dard* nahin deta. 23  moorkh ke liye sharmnak kaam ek khel hai,lekin paini samajh rakhnevala buddhi ki khoj mein rehta hai.+ 24  dusht ko jis baat ka dar hota hai, vahi us par aa padti hai,lekin nek jan ki khvahish poori ki jaati hai.+ 25  dusht, toofan aane par mit jaata hai,+lekin nek jan mazboot ninv ki tarah tika rehta hai.+ 26  aalsi apne maalik* ke liye aisa hai,jaise daanton ke liye sirka aur aankhon ke liye dhuaan. 27  yahova ka dar maanna zindagi ke din badhata hai,+lekin dusht ki zindagi ke saal ghata diye jaayenge.+ 28  nek jan ki ummeedein* use khushi deti hain,+lekin dusht ki aasha khaak mein mil jaati hai.+ 29  yahova ki raah nirdosh logon ke liye ek mazboot gadh hai,+magar bure kaam karnevalon ke liye yah vinash saabit hoti hai.+ 30  nek jan sada atal rahega,+jabki dusht jan dharti par fir kabhi nahin basega.+ 31  nek jan ke munh se buddhi ki baatein nikaalti hain,lekin chhal karnevali zaban kaat di jaayegi. 32  nek jan ke honth manbhavni baatein kehna jaante hain,magar dusht ke munh se chhal ki baatein nikaalti hain.

kai footnote

ya “ke achhe naam ke liye.”
ya shaayad, “woh jeevan ki raah par hai.”
ya “afvahein.”
shaa., “ke man.”
ya “ko raah dikhati hain.”
ya “dukh; mushkil.”
ya “bhejnevale.”
ya “aasha.”