nirgaman 18:1-27

  • yitro aur sippora aaye (1-12)

  • yitro ne nyayi thehrane ki salah di (13-27)

18  moosa ke sasur yitro ne, jo midyan ka yaajak tha,+ suna ki yahova ne moosa aur apne israeli logon ki khaatir kya-kya kiya aur kaise un sabko misra se nikaalkar baahar le aaya.+  moosa ke sasur yitro ne moosa ki patni sippora ko apne ghar rakha tha jise moosa ne vahaan rehne bheja tha.  moosa ne sippora ke saath apne donon beton+ ko bhi bheja tha. unmein se ek ka naam gershom*+ tha kyonki moosa ne kaha, “main pardes mein rehnevala pardesi ban gaya hoon.”  doosre bete ka naam eliezer* tha kyonki moosa ne kaha, “mere pita ka parmeshvar mera madadgar hai, jisne mujhe firaun ki talvar se bachaya hai.”+  ab yitro moosa ki patni aur uske donon beton ko lekar veerane mein moosa ke paas aaya, jo sachche parmeshvar ke pahad ke paas dera daale huye tha.+  usne moosa ko khabar bheji: “main tera sasur yitro+ tere yahaan aa raha hoon. main teri patni aur tere donon beton ko saath laa raha hoon.”  yah khabar sunte hi moosa apne sasur se milne gaya aur usse milne par jhukkar use pranam kiya aur chooma. fir unhonne ek-doosre ki khairiyat poochhi aur woh tamboo ke andar gaye.  moosa ne apne sasur ko bataya ki yahova ne israel ki khaatir firaun aur misra ke saath kya-kya kiya,+ safar ke dauran israeliyon par kya-kya museebatein aayin+ aur yahova ne kaise un saari museebaton se unhein chhudaya.  jab yitro ne suna ki yahova ne israeliyon ko misra se chhudakar unke saath kaisi bhalai ki to use badi khushi hui. 10  usne kaha, “yahova ki taareef ho jisne firaun ke haath se aur misra se tum logon ko chhudaya hai, jisne misra ke changul se tumhein chhudaya hai. 11  ab main jaan gaya hoon ki yahova duniya ke sabhi devtaon se kahin mahan hai,+ kyonki usne un logon ka bura haal kar diya jinhonne ghamand se bharkar uski praja ko bahot sataya tha.” 12  fir moosa ka sasur yitro, parmeshvar ke liye ek hom-bali aur balidan chadhane ke liye kuch jaanvar le aaya. aur haaroon aur israel ke sabhi mukhiya sachche parmeshvar ke saamne yitro ke saath khaana khaane aaye. 13  agle din moosa har roz ki tarah logon ke maamlon ka nyay karne baitha. subah se shaam tak logon ki bheed lagi rehti thi. 14  jab moosa ke sasur ne woh sab dekha jo moosa logon ki khaatir kar raha tha, to usne poochha, “yah tu logon ke liye kya kar raha hai? tu kyon yahaan akela baitha rehta hai aur kyon subah se shaam tak tere saamne logon ki bheed lagi rehti hai?” 15  moosa ne apne sasur se kaha, “log parmeshvar ki marzee jaanne mere paas aate hain. 16  jab do logon ke beech koi masla uthta hai to woh use mere paas laate hain aur mujhe un donon ke beech nyay karna hota hai. main unhein sachche parmeshvar ke faisle aur kaayde-kaanoon batata hoon.”+ 17  moosa ke sasur ne usse kaha, “tu jis tarah yah kaam kar raha hai woh theek nahin hai. 18  aisa hi chalta raha to tu aur tere paas aanevale sab past ho jaayenge kyonki yah kaam bahot bhaari hai. tu akele ise nahin kar paayega. 19  meri sun, main tujhe ek salah deta hoon. aur parmeshvar tere saath rahega.+ tu sachche parmeshvar ke saamne logon ki taraf se seva kar+ aur unke maamle uske saamne pesh kar.+ 20  logon ko parmeshvar ke niyam aur kaayde-kaanoon sikha,+ unhein bata ki unhein kis raah par chalna chahiye aur unhein kya-kya farz nibhana chahiye. 21  lekin tu aise kuch kaabil aadmiyon ko chun+ jo parmeshvar ka dar maante hon, bharosemand hon aur beimani ki kamai se nafrat karte hon.+ un aadmiyon ko das-das, pachas-pachas, sau-sau aur hazar-hazar logon ka pradhan thehra.+ 22  ye pradhan har samay logon ke maamlon ka nyay kareinge. chhote-chhote maamlon ka woh khud faisla karein, lekin agar koi maamla pecheeda ho to woh use tere paas laayen.+ is tarah unke saath kaam baantne se tera bojh halka ho jaayega.+ 23  agar tu aisa kare aur parmeshvar bhi tujhe yahi karne ki aagya de, to tujhe zyada tanav nahin hoga aur nyay ke liye aanevala har koi santusht hokar lautega.” 24  moosa ne fauran apne sasur ki salah maani aur usne jo-jo bataya woh sab kiya. 25  moosa ne poore israel mein se kaabil aadmiyon ko chuna aur unhein logon ka adhikari thehraya. unhein das-das, pachas-pachas, sau-sau aur hazar-hazar logon ka pradhan thehraya. 26  aur ye pradhan logon ke maamlon ka faisla karne lage. chhote-chhote maamle woh khud niptate the, magar pecheeda maamle moosa ke paas laate the.+ 27  iske baad moosa ne apne sasur ko vida kiya+ aur woh apne desh laut gaya.

kai footnote

matlab “vahaan rehnevala ek pardesi.”
matlab “mera parmeshvar madadgar hai.”