nirgaman 20:1-26

  • das aagyayen (1-17)

  • adbhut ghatnayen dekhkar israel dara (18-21)

  • upasna ke baare mein hidaytein (22-26)

20  fir parmeshvar ne ye saari aagyayen batayin:+  “main tumhara parmeshvar yahova hoon jo tumhein gulami ke ghar, misra se baahar nikaal laaya.+  mere siva tumhara koi aur ishvar na ho.*+  tum apne liye koi moorat na tarashna. oopar aasman mein, neeche zameen par aur paani mein jo kuch hai, unmein se kisi ke bhi aakaar ki koi cheez na banana.+  tum unke aage dandvat na karna aur na hi unki pooja karne ke liye bahak jaana,+ kyonki main tumhara parmeshvar yahova maang karta hoon ki sirf meri bhakti ki jaaye, mujhe chhod kisi aur ki nahin.+ jo mujhse nafrat karte hain unke gunah ki saza main unke beton, poton aur parpoton ko bhi deta hoon.  magar jo mujhse pyar karte hain aur meri aagyayen maante hain, unki hazaron peedhiyon se main pyar* karta hoon.+  tum apne parmeshvar yahova ke naam ka galat istemal na karna,+ kyonki jo uske naam ka galat istemal karta hai use yahova saza diye bina nahin chhodega.+  sabt ka din yaad se manaya karna aur ise pavitra maanna.+  ghar-baahar ka jo bhi kaam ya mazdoori ho, tum chhe din tak karna.+ 10  magar saatvaan din tumhare parmeshvar yahova ke liye alag thehraya gaya sabt hai. is din na tum, na tumhare bete-betiyaan, na tumhare daas-daasiyaan aur na hi tumhari bastiyon mein* rehnevale pardesi koi kaam karein. tum apne jaanvaron se bhi koi kaam na karana.+ 11  yahova ne aakash, dharti, samundar aur jo kuch unmein hai, sabko chhe dinon mein banaya aur saatvein din se woh vishram karne laga.+ iseeliye yahova ne sabt ke din par aasheesh di aur use pavitra thehraya. 12  apne pita aur apni maa ka aadar karna,+ tab tum us desh mein lambee zindagi jeeyoge jo tumhara parmeshvar yahova tumhein denevala hai.+ 13  tum khoon na karna.+ 14  tum vyabhichar* na karna.+ 15  tum chori na karna.+ 16  jab tumhein apne sangi-saathi ke khilaf gavahi deni ho to tum jhoothi gavahi na dena.+ 17  tum apne sangi-saathi ke ghar ka laalach na karna. tum uski patni ya uske daas-daasi ya uske bail ya gadhe ya uski kisi bhi cheez ka laalach na karna.”+ 18  is dauran vahaan jo tez garjan hua, bijli chamki, narsinge ki aavaz aayi aur pahad se dhuaan uthta raha, use log dekh aur sun rahe the. woh dar se kaanpne lage aur pahad se door hi khade rahe.+ 19  unhonne moosa se kaha, “tu hi hamse baat kar, hum tujhse sun leinge. parmeshvar se kehna ki woh hamse baat na kare kyonki hamein dar hai ki kahin hum mar na jaayen.”+ 20  moosa ne unse kaha, “ghabrao mat, kyonki sachcha parmeshvar tumhein parakhne ke liye aaya hai+ taaki tum hamesha uska dar maano aur paap na karo.”+ 21  log door hi khade rahe, magar moosa us kaale baadal ke paas gaya jahaan sachcha parmeshvar maujood tha.+ 22  fir yahova ne moosa se kaha, “tu jaakaar israeliyon se kehna, ‘tum logon ne khud apni aankhon se dekha hai ki kaise mainne swarg se tumse baat ki.+ 23  mere siva tumhara koi aur ishvar na ho aur tum sone-chaandi se devtaon ki koi moorat na banana.+ 24  tum mere liye mitti ki ek vedi banana jis par apni bhed-bakriyon aur gaay-bailon ki hom-bali aur shaanti-bali chadhana. main jo bhi jagah chunoonga ki vahaan mera naam yaad kiya jaaye,+ vahaan main tumhare paas aaunga aur tumhein aasheesh doonga. 25  agar tum mere liye pattharon ki vedi banate ho, to auzaron se kaate huye patthar* istemal na karna,+ kyonki agar tum pattharon par chheni chalaoge to vedi apavitra ho jaayegi. 26  tum meri vedi par chadhne ke liye seedhiyaan na banana taaki aisa na ho ki us par chadhte vakt tumhara nangapan* dikhayi de.’”

kai footnote

ya “tum mere khilaf jaakaar kisi aur ishvar ko na maanna.”
ya “atal pyar.”
shaa., “tumhare faatkon ke andar.”
shabdavli dekhein.
ya “gadhe huye patthar.”
ya “tumhare gupt ang.”