yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 1:1-20
1 ye woh baatein hain jo yeeshu maseeh ne prakat kin,* jo use parmeshvar ne isliye di+ taaki woh uske daason ko dikhaye+ ki bahot jald kya-kya honevala hai. aur yeeshu ne apna swargdoot bhejkar ye baatein uske daas yuhanna ko nishaniyon ke zariye batayin.+
2 yuhanna ne parmeshvar ke vachan ki aur jo gavahi yeeshu maseeh ne di thi, uski gavahi di yaani un sab baaton ki jo usne dekhi thi.
3 sukhi hai woh jo is bhavishyavani ke vachan zor se padhta hai aur woh bhi jo inhein sunte hain aur ismein likhi baaton par chalte hain,+ kyonki tay kiya gaya vakt paas hai.
4 main yuhanna asia praant ki saat mandliyon ko likh raha hoon:+
meri dua hai ki tumhein uski taraf se yaani “jo tha aur jo hai aur jo aa raha hai,”+ maha-kripa aur shaanti mile aur saat pavitra shaktiyon ki taraf se bhi+ jo uski raajgaddi ke saamne hain.
5 tumhein yeeshu maseeh ki taraf se bhi maha-kripa aur shaanti mile jo “vishvasyogya sakshi ,”+ “mare huon mein se zinda honevalon mein pehalautha”+ aur “dharti ke raajaon ka raja” hai.+
yeeshu jo hamse pyar karta hai+ aur jisne apne khoon ke zariye hamein paapon se chhudaya+
6 aur hamein apne parmeshvar aur pita ke liye raja aur yaajak banaya,+ haan, mahima aur shakti sada usi ki ho. aameen.
7 dekho! woh baadlon ke saath aa raha hai+ aur har aankh use dekhegi aur woh bhi dekheinge jinhonne use bheda tha. aur prithvi ke saare gotra uski vajah se dukh ke maare chhaati peeteinge.+ haan, aameen.
8 yahova* parmeshvar, “jo tha, jo hai aur jo aa raha hai aur jo sarvashaktiman hai”+ woh kehta hai, “main hi shurooat hoon aur main hi ant hoon.”*+
9 main yuhanna tumhara bhaai, yeeshu ka chela hone ke naate+ dukh jhelne, raaj karne+ aur dheeraj dharne mein+ tumhare saath saajhedar hoon.+ main parmeshvar ke baare mein bolne aur yeeshu ke baare mein gavahi dene ki vajah se patmus naam ke dveep mein tha.
10 main pavitra shakti se udhaare jaane par prabhu ke din mein pahunch gaya. aur mainne apne peechhe turhi ke jaisi tez aavaz suni
11 jo mujhse kah rahi thi, “tu jo dekhta hai use ek kharre par likh le aur use in saaton mandliyon ko bhej: ifisus,+ smurna,+ pirgamun,+ thuateera,+ sardees,+ fildilfiya+ aur laudeekiya.”+
12 fir main yah dekhne ke liye muda ki kaun mujhse bol raha hai aur tab mainne sone ki saat deevtein dekhin.+
13 un deevton ke beech mainne insan ke bete jaisa koi dekha,+ jo paanv tak lamba choga pehne aur sone ka seenaband baandhe huye tha.
14 uska sir aur uske baal safed oon aur barf jaise safed the aur uski aankhein aag ki jvala jaisi thi.+
15 uske paanv chamchamate tambe jaise the+ jo bhatthi mein tapaya gaya ho. aur uski aavaz paani ki tez dhaaraon ke garjan jaisi thi.
16 uske daayen haath mein saat taare the+ aur uske munh se ek lambee aur donon taraf tez dhaarvali talvar nikaal rahi thi.+ uska chehra aise chamak raha tha jaise sooraj kadi dhoop mein chamakta hai.+
17 jab mainne use dekha to main uske paanvon par murda-saa gir pada.
tab usne apna daayaan haath mujh par rakhkar kaha, “dar mat. main hi pehala+ aur aakhiri hoon+
18 aur main hi jeevit hoon.+ main mar gaya tha,+ magar dekh! ab main hamesha-hamesha ke liye jeeta hoon+ aur mere paas maut aur kabraa* ki chaabiyaan hain.+
19 isliye toone jo dekha aur jo ho raha hai aur iske baad jo honevala hai, woh saari baatein likh le.
20 aur mere daayen haath mein toone jo saat taare dekhe aur sone ki jo saat deevtein toone dekhin unka pavitra rehasya yah hai: in saat taaron ka matlab hai saat mandliyon ke doot aur saat deevton ka matlab hai saat mandliyaan.”+
kai footnote
^ ya “jinka khulasa kiya.”
^ shaa., “main hi alfa aur omega hoon.” ye yoonani varnmala ke pehale aur aakhiri akshar hain.