preshiton ke kaam 23:1-35
23 paulus ne mahasabha ki taraf taktaki lagakar dekha aur kaha, “bhaaiyo, mainne aaj ke din tak parmeshvar ke saamne bilkul saaf zameer se zindagi bitayi hai.”+
2 yah sunkar mahayajak hananyah ne paulus ke paas khade logon ko hukm diya ki woh uske munh par thappad maarein.
3 tab paulus ne usse kaha, “are kapti,* tujh par parmeshvar ki maar padegi. tu kaanoon ke mutabik mera nyay karne baitha hai aur mujhe maarne ka hukm dekar usi kaanoon ko tod bhi raha hai?”
4 tab vahaan khade logon ne kaha, “tu parmeshvar ke mahayajak ki beizzati kar raha hai?”
5 paulus ne kaha, “bhaaiyo, mujhe maaloom nahin tha ki yah mahayajak hai. kyonki likha hai, ‘tu apne logon ke adhikari ki ninda mat karna.’”+
6 paulus ne yah jaante huye ki unmein se ek dal sadookiyon ka hai aur doosra fareesiyon ka, mahasabha mein zor se pukarkar kaha, “bhaaiyo, main ek fareesi hoon+ aur fareesiyon ka beta hoon. mare huon ke zinda hone ki aasha ko lekar mujh par mukadma chalaya jaa raha hai.”
7 jab usne yah kaha, to fareesiyon aur sadookiyon mein jhagda hone laga aur sabha mein fut pad gayi.
8 kyonki sadooki kehte hain ki na to mare huye zinda kiye jaate hain, na swargdoot hote hain, na hi adrishya prani. magar fareesi in sab baaton par vishvas karte hain.+
9 isliye vahaan badi cheekh-pukar mach gayi aur fareesiyon ke dal ke kuch shaastri uthe aur yah kehkar buri tarah jhagadne lage, “hamein is aadmi mein koi burai nazar nahin aati. kya pata kisi adrishya prani ya swargdoot ne usse baat ki ho+ . . ..”
10 jab jhagda had-se-zyada badh gaya, to senapati dar gaya ki kahin woh paulus ki boti-boti na kar dein. usne sainikon ko hukm diya ki woh neeche jaakaar paulus ko chhuda lein aur sainikon ke rehne ki jagah le aayen.
11 magar usi raat prabhu paulus ke paas aa khada hua aur usne kaha, “himmat rakh!+ kyonki jaise tu yarooshalem mein mere baare mein achhi tarah gavahi deta aaya hai, usi tarah rom mein bhi tujhe gavahi deni hai.”+
12 jab din nikala, to yahoodiyon ne ek saazish rachi aur yah kasam khaayi ki jab tak hum paulus ko maar na daalein tab tak agar hamne kuch khaaya ya peeya, to hum par shaap pade.
13 jinhonne yah kasam khaakaar saazish rachi thi unki ginti 40 se zyada thi.
14 woh pradhan yaajkon aur mukhiyaon ke paas gaye aur kehne lage, “hamne kasam* khaayi hai ki jab tak hum paulus ko maar nahin daalte, tab tak agar hamne kuch khaaya to hum par shaap pade.
15 isliye ab tum log mahasabha ke saath milkar senapati ko batao ki woh paulus ko neeche tumhare paas le aaye, maano tum uske maamle ki kareebi se jaanch karna chahte ho. magar hum uske yahaan pahunchne se pehale hi uska kaam tamam karne ke liye taiyar raheinge.”
16 lekin paulus ke bhaanje ne yah sun liya ki woh use chhipkar maar daalne ki saazish kar rahe hain. usne sainikon ke rehne ki jagah jaakaar yah khabar paulus ko de di.
17 tab paulus ne ek sena-afsar ko apne paas bulakar usse kaha, “is ladke ko senapati ke paas le jaao, yah use ek khabar dena chahta hai.”
18 woh use lekar senapati ke paas gaya aur usne kaha, “kaidi paulus ne mujhe apne paas bulaya aur mujhse guzarish kee ki is ladke ko tere paas le aaun kyonki yah tujhe kuch batana chahta hai.”
19 senapati ladke ka haath pakadkar use alag le gaya aur akele mein usse poochha, “tu mujhe kya khabar dena chahta hai?”
20 usne kaha, “yahoodiyon ne milkar yah tay kiya hai ki woh tujhse binti kareinge ki tu kal paulus ko mahasabha ke saamne laaye, maano woh uske maamle ke baare mein aur jaanna chahte hon.+
21 magar tu unki baaton mein na aana kyonki unke 40 se zyada aadmi paulus ko chhipkar maar daalne ki saazish kar rahe hain aur unhonne kasam* khaayi hai ki jab tak woh paulus ko maar na daalein, tab tak agar unhonne kuch khaaya ya peeya to un par shaap pade.+ aur ab woh taiyar hain aur tujhse ijazat paane ka intazaar kar rahe hain.”
22 isliye senapati ne ladke ko sakhti se yah kehkar bhej diya, “kisi se mat kehna ki toone mujhe yah baat bata di hai.”
23 tab usne do sena-afsaron ko bulaya aur unse kaha, “200 sainik, 70 ghudsavaar aur 200 bhaala chalanevale taiyar rakho ki woh raat ke teesre ghante* kaisariya ke liye kooch karein.
24 aur paulus ke liye ghode taiyar rakho taaki tum use sahi-salamat raajyapal feliks ke paas pahunchao.”
25 aur usne chitthi likhi jismein ye baatein thi:
26 “mahapratapi raajyapal feliks ko klaudiyus loosiyas ka namaskar!
27 is aadmi ko yahoodiyon ne pakad liya tha aur woh ise maar daalnevale the, magar mainne apne sainikon ke saath fauran vahaan pahunchkar ise bacha liya,+ kyonki mujhe pata chala ki yah ek romi naagrik hai.+
28 main jaanna chahta tha ki woh kis vajah se is par ilzam laga rahe hain, isliye main ise unki mahasabha mein le gaya.+
29 mainne paaya ki unke apne kaanooni masle ko lekar is par ilzam lagaya gaya tha,+ magar is par aisa koi bhi ilzam nahin tha jisse yah maut ki saza paane ya jail jaane ke laayak thahre.
30 magar mujhe khabar mili ki iske khilaf ek saazish rachi gayi hai.+ isliye main bina der kiye ise tere paas bhej raha hoon aur mainne muddaiyon ko hukm diya hai ki tere saamne iske khilaf apne ilzam batayen.”
31 isliye sainikon ko jaisa hukm mila tha, woh paulus ko raaton-raat antipatris shehar le aaye.+
32 agle din ghudsavaar paulus ko lekar aage nikaal gaye aur sainik apne rehne ki jagah laut aaye.
33 kaisariya pahunchkar ghudsavaaron ne raajyapal ko chitthi di aur paulus ko uske saamne pesh kiya.
34 chitthi padhkar raajyapal ne poochha ki paulus kis praant ka hai aur use pata chala ki woh kilikiya se hai.+
35 usne paulus se kaha, “jab tere muddai yahaan aayenge,+ to main tujhe apni safai mein bolne ka poora-poora mauka doonga.” usne hukm diya ki use herodes ke mahal mein pehre mein rakha jaaye.