sabhopdeshak 3:1-22
3 har cheez ka ek samay hota hai,aasman ke neeche harek kaam ka ek samay hota hai:
2 janm lene ka samay* aur marne ka samay,bone ka samay aur boye huye ko ukhaadne ka samay,
3 maar daalne ka samay aur changa karne ka samay,dhaa dene ka samay aur banane ka samay,
4 rone ka samay aur hansne ka samay,chhaati peetne ka samay aur naachne ka samay,
5 patthar feinkne ka samay aur pattharon ko batorne ka samay,gale lagane ka samay aur gale lagane se door rehne ka samay,
6 dhoondhne ka samay aur khoya hua maankar chhod dene ka samay,rakhne ka samay aur feinkne ka samay,
7 faadne ka samay+ aur silne ka samay,chup rehne ka samay+ aur bolne ka samay,+
8 pyar karne ka samay aur nafrat karne ka samay,+yuddh ka samay aur shaanti ka samay.
9 ek kaamkaji insan ko apni saari mehnat se kya milta hai?+
10 mainne woh saare kaam dekhe jo parmeshvar ne insanon ko diye hain ki woh unmein lage rahein.
11 parmeshvar ne har cheez ko aisa banaya hai ki woh apne samay par sundar* lagti hai.+ usne insan ke man mein hamesha tak jeene ka vichar bhi daala hai. fir bhi woh sachche parmeshvar ke kaamon ko poori tarah* nahin jaan sakta.
12 main is nateeje par pahuncha hoon ki insan ke liye isse achha aur kuch nahin ki woh zindagi mein khush rahe aur achhe kaam kare.+
13 saath hi, woh khaaye-peeye aur apni mehnat ke sab kaamon se khushi paaye. yah parmeshvar ki den hai.+
14 main jaan gaya hoon ki sachche parmeshvar ne jo kuch banaya hai woh hamesha kaayam rahega. ismein na kuch joda jaa sakta hai, na kuch ghataya jaa sakta hai. sachche parmeshvar ne saari cheezen is tarah banayi hain ki log uska dar maanein.+
15 jo kuch hota hai, woh pehale bhi ho chuka hai aur jo honevala hai woh bhi ho chuka hai.+ lekin sachcha parmeshvar use dhoondhta hai jiska peechha kiya jaa raha hai.*
16 mainne duniya mein* yah bhi dekha: nyay ki jagah dushtata ki jaati hai aur neki ki jagah burai.+
17 mainne apne man mein kaha, “sachcha parmeshvar nek aur dusht donon ka nyay karega+ kyonki har baat aur har kaam ka ek samay hota hai.”
18 mainne apne dil mein yah bhi kaha ki sachcha parmeshvar insan ko parkhega aur unhein dikha dega ki insan jaanvaron jaise hain
19 kyonki insanon aur jaanvaron ka ek hi anjam hota hai.+ jaise jaanvar marta hai vaise hi insan bhi mar jaata hai. donon mein jeevan ki saansein hain.+ insan, jaanvar se badhkar nahin. isliye sabkuch vyarth hai.
20 sab ek hi jagah jaate hain.+ unhein mitti se banaya gaya hai+ aur woh mitti mein mil jaate hain.+
21 kaun jaanta hai ki insan ki jeevan-shakti oopar jaati hai aur jaanvar ki neeche zameen mein?+
22 mainne yahi paaya ki insan ke liye isse achha aur kuch nahin ki woh apne kaam se khushi paaye+ kyonki yahi uska inam hai. varna kaun use dikha sakta hai ki uske jaane ke baad kya hoga?+
kai footnote
^ ya “janm dene ka samay.”
^ ya “vyavasthit; uchit; sahi.”
^ shaa., “ko shuroo se lekar aakhir tak.”
^ ya shaayad, “jo beet chuka hai.”
^ shaa., “sooraj ke neeche.”