utpatti 20:1-18
-
saara ko abeemelek se chhudaya gaya (1-18)
20 ab abraham apna+ padav uthakar negeb ki taraf gaya aur kaadesh+ aur shoor+ ke beech rehne laga. kuch samay ke liye woh garar+ mein bhi raha.*
2 yahaan bhi abraham apni patni saara ke baare mein kehta tha, “yah meri behen hai.”+ isliye garar ke raja abeemelek ne saara ko bulvakar apne paas rakh liya.+
3 baad mein raat ko abeemelek ke sapne mein parmeshvar ne usse kaha, “ab teri maut tay hai, kyonki toone jis aurat ko apne paas rakh liya,+ woh shaadishuda hai aur kisi doosre aadmi ki hai.”+
4 magar abeemelek ne saara ko chhua tak nahin tha.* isliye usne kaha, “hey yahova, kya tu ek aisi jaati ko mita dega jo sachmuch bekasoor* hai?
5 kya abraham ne mujhse nahin kaha tha ki yah meri behen hai? aur kya saara ne bhi nahin kaha tha ki yah mera bhaai hai? isliye mainne jo bhi kiya saaf man se kiya, mera koi galat irada nahin tha.”
6 tab sachche parmeshvar ne sapne mein usse kaha, “main jaanta hoon ki toone jo bhi kiya saaf man se kiya. isliye mainne tujhe rok liya ki tu mere khilaf koi paap na kare. aur tujhe saara ko chhoone tak nahin diya.
7 ab us aadmi ki patni use lauta de kyonki woh ek bhavishyavakta hai,+ woh tere liye minnat karega,+ tabhi tu jeevit rahega. lekin agar tu use na lautaye, to jaan le ki tu zaroor mar jaayega aur tere saath-saath tere sab log mar jaayenge.”
8 abeemelek tadke subah utha aur apne sabhi daason ko bulvakar unhein saara haal keh sunaya. yah sunkar woh thar-thar kaanpne lage.
9 fir abeemelek ne abraham ko bulvakar usse kaha, “yah toone hamare saath kya kiya? mainne tere khilaf kya gunah kiya ki tu mujhe aur mere raajya ko itne bade paap ka doshi bananevala tha? toone mere saath theek nahin kiya.”
10 abeemelek ne abraham se fir kaha, “aakhir toone aisa kyon kiya?”+
11 abraham ne kaha, “mainne socha ki yahaan ke logon mein to parmeshvar ka dar nahin hai, isliye woh meri patni ko haasil karne ke liye mujhe maar daaleinge.+
12 aur vaise bhi, saara vaakai meri behen hai kyonki hum donon ka pita ek hai, hamari maanyen alag-alag hain. mainne usse shaadi ki.+
13 isliye parmeshvar ke kehne par jab mainne apne pita ka ghar chhoda aur main jagah-jagah safar karne laga,+ to mainne saara se kaha ki hum jahaan bhi jaayen, tu logon se kehna ki main tera bhaai hoon+ aur is tarah mere liye apne atal pyar ka saboot dena.”
14 tab abeemelek ne abraham ko uski patni saara lauta di aur use bhedein, gaay-bail aur daas-daasiyaan bhi diye.
15 fir abeemelek ne abraham se kaha, “dekh, mera saara ilaka tere saamne hai, tu jahaan chahe vahaan reh.”
16 aur saara se usne kaha, “main tere bhaai+ ko chaandi ke 1,000 tukde de raha hoon. yah tere logon ke saamne aur baaki sabke saamne is baat ka saboot hai* ki teri izzat par koi aanch nahin aayi hai, tu bedag hai.”
17 tab abraham sachche parmeshvar se minnat karne laga aur parmeshvar ne abeemelek aur uski patni aur daasiyon ko changa kar diya aur unki fir se santan hone lagi.
18 yahova ne abraham ki patni saara ki vajah se abeemelek ke gharane ki sabhi aurton ki kokh band kar di thi.+
kai footnote
^ ya “pardesi ki tarah raha.”
^ ya “nek.”
^ yaani usne saara ke saath yaun-sambandh nahin rakhe the.
^ shaa., “dekh, yah tere liye aankhon ka parda hai.”