utpatti 42:1-38

  • yoosuf ke bhaai misra gaye (1-4)

  • yoosuf unse mila; unhein parkha (5-25)

  • uske bhaai yakub ke paas laute (26-38)

42  jab yakub ko pata chala ki misra mein anaj mil raha hai,+ to usne apne beton se kaha, “tum log kuch karte kyon nahin?”  usne yah bhi kaha, “mainne suna hai ki misra mein anaj mil raha hai. jaao, vahaan se hamare liye anaj khareed laao taaki hum bhookhe na mar jaayen.”+  tab yoosuf ke das bhaai+ apne pita ke kehne par anaj khareedne misra gaye.  yakub ne unke saath binyameen ko nahin bheja+ jo yoosuf ka saga bhaai tha, kyonki yakub ne kaha, “kahin uske saath koi haadsa na ho jaaye.”+  israel ke bete kanaan ke doosre logon ke saath anaj khareedne misra aaye, kyonki kanaan mein bhi akaal pada tha.+  poore misra desh par yoosuf ka adhikar tha+ aur vahi alag-alag desh se aanevale logon ko anaj bechta tha.+ isliye yoosuf ke bhaai uske paas aaye aur unhonne munh ke bal girkar use pranam kiya.+  yoosuf ne unhein dekhte hi pehchan liya, magar usne anjan banne ka dhong kiya+ aur unse kadakkar poochha, “kahaan se aaye ho tum log?” unhonne kaha, “hum kanaan desh se aaye hain aur anaj khareedna chahte hain.”+  is tarah yoosuf ne to apne bhaaiyon ko pehchan liya, magar unhonne use nahin pehchana.  fir tabhi yoosuf ko woh sapne yaad aaye jo usne apne bhaaiyon ke baare mein dekhe the.+ usne unse kaha, “tum log jaasoos ho! tum hamare desh ki kamzoriyon ka pata lagane aaye ho!” 10  unhonne kaha, “nahin maalik, hum to tere daas hain, tujhse anaj khareedne aaye hain. 11  hum sab bhaai hain, ek hi pita ke bete hain. hum seedhe-sachche log hain. hum koi jaasoosi karne nahin aaye.” 12  magar yoosuf ne kaha, “tum jhooth bol rahe ho! tum hamare desh ki kamzoriyon ka pata lagane aaye ho!” 13  unhonne kaha, “hum sach keh rahe hain maalik. hum 12 bhaai hain+ aur hum ek hi aadmi ke bete hain,+ hamara pita kanaan ka rehnevala hai. hamara sabse chhota bhaai pita ke saath ghar par hai+ aur ek bhaai ab nahin raha.”+ 14  lekin yoosuf ne unse kaha, “nahin, nahin, tum jaasoos ho! 15  sach-jhooth ka pata lagane ka ek tareeka hai: firaun ke jeevan ki shapath, jab tak tumhara woh chhota bhaai yahaan nahin aata, tab tak tum yahaan se hargiz nahin jaa sakte.+ 16  tumhein yahaan hirasat mein rehna hoga. tummein se ek jaakaar apne bhaai ko yahaan le aaye, tab pata chal jaayega ki tum kitna sach bol rahe ho. agar tum jhoothe nikle to yah saabit ho jaayega ki tum sab jaasoos ho.” 17  yah kehkar usne un sabko teen din ke liye hirasat mein rakha. 18  teesre din yoosuf ne unse kaha, “dekho, main sachche parmeshvar ka dar maannevala insan hoon. isliye main jo kehta hoon woh karo to tumhari jaan salamat rahegi. 19  agar tum vaakai seedhe-sachche ho to ek kaam karo. apne ek bhaai ko yahin hirasat mein rehne do aur baaki log anaj lekar apne ghar jaayen taaki tumhare baal-bachche bhookh se na mar jaayen.+ 20  fir apne sabse chhote bhaai ko yahaan le aao. tabhi mujhe yakeen hoga ki tum sach bol rahe ho aur tum nahin maar daale jaaoge.” yoosuf ke bhaaiyon ne uski baat maan li. 21  fir woh ek-doosre se kehne lage, “hamne apne bhaai ke saath jo kiya tha, aaj hamein usi ki saza mil rahi hai.+ yaad hai woh kaise hamse reham ki bheekh maang raha tha, uska man kaise tadap raha tha, fir bhi hamne us par taras nahin khaaya iseeliye aaj hum par yah museebat toot padi hai.” 22  tab rooben bola, “mainne kaha tha na tumse, ladke ko kuch mat karna, magar tumne meri kahaan suni.+ ab dekho, uske khoon ka badla hamse liya jaa raha hai.”+ 23  yoosuf unki ye saari baatein samajh raha tha magar woh yah baat nahin jaante the, kyonki yoosuf ek anuvadak ke zariye unse baat kar raha tha. 24  unki baatein sunkar yoosuf unse door ek alag jagah jaakaar rone laga.+ fir woh vaapas unke paas aaya aur usne dobara unse baat ki. tab usne unke beech se shimon ko alag kiya+ aur unki aankhon ke saamne use bandi bana liya.+ 25  iske baad, yoosuf ne apne aadmiyon ko hukm diya ki woh unki boriyon mein anaj bhar dein aur harek ki bori mein uska diya paisa vaapas rakh dein. saath hi, unke safar ke liye khaane ki cheezen baandh dein. uske aadmiyon ne vaisa hi kiya. 26  fir yoosuf ke bhaaiyon ne apne gadhon par anaj ki boriyaan laadin aur vahaan se chal diye. 27  raaste mein jab woh ek musafirkhane mein thahre aur unmein se ek ne apne gadhe ko chaara dene ke liye apni bori kholi, to woh yah dekhkar dang reh gaya ki uska diya paisa bori mein oopar rakha hua hai. 28  usne apne bhaaiyon se kaha, “yah dekho, unhonne mera paisa vaapas de diya, yah meri bori mein hai!” yah dekhkar un sabka dil baith gaya aur woh thar-thar kaanpne lage. woh ek-doosre se kehne lage, “parmeshvar ne hamare saath aisa kyon kiya?” 29  jab woh kanaan desh mein apne pita ke paas pahunche, to unhonne use bataya ki unke saath kya-kya hua. 30  unhonne kaha, “us desh ke sabse bade adhikari ne hamare saath badi rukhai se baat ki+ aur hum par ilzam lagaya ki hum vahaan jaasoosi karne aaye hain. 31  magar hamne kaha, ‘hum seedhe-sachche log hain, hum koi jaasoos nahin hain.+ 32  hum 12 bhaai hain,+ ek hi pita ke bete. ek bhaai ab nahin raha+ aur sabse chhota bhaai kanaan mein hamare pita ke saath ghar par hai.’+ 33  magar us adhikari ne hamse kaha, ‘main dekhna chahta hoon ki tum vaakai seedhe-sachche ho ya nahin. ek kaam karo. tum apne ek bhaai ko yahaan chhod do+ aur baaki log anaj lekar apne ghar jaayen taaki tumhare baal-bachche bhookh se na mar jaayen.+ 34  iske baad tum apne chhote bhaai ko lekar yahaan aana, tabhi main yakeen karoonga ki tum seedhe-sachche log ho, koi jaasoos nahin ho. fir main tumhein tumhara yah bhaai lauta doonga aur tum aage bhi hamare desh se anaj khareed sakoge.’” 35  baad mein jab woh apni-apni bori khaali karne lage to harek ki bori mein uske paison ki thaili rakhi hui thi. yah sab dekhkar yakub aur uske bete dar gaye. 36  unka pita yakub aahein bharkar unse kehne laga, “tum kyon mere bachchon ko mujhse chheen lena chahte ho?+ yoosuf to pehale hi nahin raha,+ mainne shimon ko bhi kho diya+ aur ab tum binyameen ko bhi mujhse door le jaana chahte ho. haay! mere saath hi yah sab kyon ho raha hai?” 37  tab rooben ne apne pita se kaha, “binyameen ka zimma main leta hoon. main use sahi-salamat vaapas le aaunga, nahin to tu mere donon beton ko maar daalna.+ main vaada karta hoon ki main khud binyameen ko vaapas le aaunga.”+ 38  magar yakub ne kaha, “nahin, main apne bete ko tumhare saath nahin bhejoonga. uska bhaai pehale hi mar chuka hai aur woh akela reh gaya hai.+ agar safar mein uske saath koi haadsa ho gaya to tumhari vajah se yah boodha shok mein dooba kabraa+ chala jaayega.”+

kai footnote