utpatti 5:1-32

  • aadam se nooh tak ki vanshavli (1-32)

    • aadam ke bete-betiyaan huye (4)

    • hanok parmeshvar ke saath chala (21-24)

5  yah hai aadam ke baare mein byaura.* jab parmeshvar ne aadam ki srishti ki to use apne jaisa banaya tha.+  usne insan ko nar aur naari banaya.+ jis din parmeshvar ne unki srishti ki,+ us din unhein aasheesh di aur unhein insan* kaha.  jab aadam 130 saal ka hua to uska ek beta hua jo uske hi jaisa aur uski chhavi tha. aadam ne uska naam shet+ rakha.  shet ke paida hone ke baad aadam 800 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.  aadam kul milakar 930 saal jeeya aur fir mar gaya.+  jab shet 105 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam enosh+ tha.  enosh ke paida hone ke baad shet 807 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye.  shet kul milakar 912 saal jeeya aur fir mar gaya.  jab enosh 90 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam kenan tha. 10  kenan ke paida hone ke baad enosh 815 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 11  enosh kul milakar 905 saal jeeya aur fir mar gaya. 12  jab kenan 70 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam mahal-lel+ tha. 13  mahal-lel ke paida hone ke baad kenan 840 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 14  kenan kul milakar 910 saal jeeya aur fir mar gaya. 15  jab mahal-lel 65 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam yered+ tha. 16  yered ke paida hone ke baad mahal-lel 830 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 17  mahal-lel kul milakar 895 saal jeeya aur fir mar gaya. 18  jab yered 162 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam hanok+ tha. 19  hanok ke paida hone ke baad yered 800 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 20  yered kul milakar 962 saal jeeya aur fir mar gaya. 21  jab hanok 65 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam matooshelah+ tha. 22  matooshelah ke paida hone ke baad hanok 300 saal aur jeeya aur woh sachche parmeshvar* ke saath-saath chalta raha. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 23  hanok kul milakar 365 saal jeeya. 24  hanok sachche parmeshvar ke saath-saath chalta raha.+ iske baad woh nahin raha kyonki parmeshvar ne use le liya.+ 25  jab matooshelah 187 saal ka hua to uska ek beta hua jiska naam lemek+ tha. 26  lemek ke paida hone ke baad matooshelah 782 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 27  matooshelah kul milakar 969 saal jeeya aur fir mar gaya. 28  jab lemek 182 saal ka hua to uska ek beta hua. 29  usne yah kehkar uska naam nooh*+ rakha ki yah ladka bada hokar hamari zindagi ko chain* dilayega. zameen par yahova ke shaap ki vajah se hamein jo kadi mehnat karni padti hai aur khoon-paseena bahana padta hai,+ un saari takaleefon se yah ladka hamein raahat dilayega. 30  nooh ke paida hone ke baad lemek 595 saal aur jeeya. uske aur bhi bete-betiyaan huye. 31  lemek kul milakar 777 saal jeeya aur fir mar gaya. 32  jab nooh 500 saal ka hua to uske teen bete huye: shem,+ haam+ aur yepet.+

kai footnote

shaa., “ki peedhiyon ke baare mein kitab.”
ya “aadam; maanavjati.”
shabdavli dekhein.
mumkin hai ki iska matlab “aaram; dilasa” hai.
ya “raahat.”