utpatti 6:1-22

  • swargdooton ne aurton se shaadi ki (1-3)

  • nafileem paida huye (4)

  • insan ki burai se yahova dukhi (5-8)

  • nooh ko jahaz banane ka kaam mila (9-16)

  • jalpralay ka ailan (17-22)

6  dharti par insanon ki ginti badhne lagi aur unki ladkiyaan bhi paida huin.  fir sachche parmeshvar ke bete*+ dharti ki aurton par dhyan dene lage ki woh kitni khoobsoorat hain. isliye unhein jo-jo achhi lagin un sabko apni patni bana liya.  tab yahova ne kaha, “main insan ko hamesha tak bardasht nahin karoonga,+ kyonki woh paapi hai.* isliye uske din 120 saal ke honge.”+  un dinon aur uske baad bhi dharti par nafileem* hua karte the. us dauran sachche parmeshvar ke bete aurton ke saath sambandh rakhte the aur in aurton se unke bete paida huye. yahi bete nafileem kehlaye jo bade taakatvar the aur us zamane ke logon mein unka bahot naam tha.  yahova ne dekha ki dharti par insan ki dushtata bahot badh gayi hai aur uske man ka jhukav har vakt burai ki taraf hota hai.+  yahova ko is baat ka bahot dukh* hua ki usne dharti par insan ko banaya aur uska man bahot udas hua.*+  isliye yahova ne kaha, “main dharti se insan ko mita doonga jise mainne sirja tha. mujhe dukh hai ki mainne use banaya. main insan ke saath-saath paaltoo jaanvaron, reingnevale jantuon, panchhiyon aur keet-patangon ko bhi naash kar doonga.”  magar nooh ek aisa insan tha jisne yahova ko khush kiya.  ye hain nooh ke dinon mein hui ghatnayen. nooh ek nek insan tha.+ woh apne zamane ke logon se alag tha. uska chaalchalan bilkul bedag tha.* nooh sachche parmeshvar ke saath-saath chalta raha.+ 10  baad mein uske teen bete huye: shem, haam aur yepet.+ 11  us vakt ki duniya sachche parmeshvar ki nazar mein bilkul bigaad chuki thi aur har taraf khoon-kharba ho raha tha. 12  haan, parmeshvar ne duniya par nazar daali aur dekha ki yah bilkul bigaad chuki hai+ aur sab log bure kaam kar rahe hain.+ 13  iske baad parmeshvar ne nooh se kaha, “mainne faisla kiya hai ki main dharti se sab insanon ko mita doonga, kyonki unhonne har taraf maar-kaat macha rakhi hai. insan ke saath-saath main dharti ko bhi tabah kar doonga.+ 14  isliye tu apne liye ek jahaz* bana.+ use banane ke liye tu raaldar ped ki lakdi lena aur jahaz mein alag-alag khaane banana. jahaz par har taraf, andar-baahar taarkol*+ lagana. 15  jahaz is tarah banana: uski lambai 300 haath, chaudai 50 haath aur unchai 30 haath ho.* 16  jahaz ki chhat se ek haath neeche ek khidki* banana jisse jahaz ke andar raushni aa sake. jahaz ke ek taraf darvaza banana+ aur usmein teen tal banana, nichla tal, beech ka tal aur oopri tal. 17  main poori dharti par ek jalpralay laanevala hoon+ aur usmein sabhi insan aur jeev-jantu naash ho jaayenge jinmein jeevan ki saans* hai. dharti par jo kuch hai woh sab mit jaayega.+ 18  magar main tere saath ek karar karta hoon ki main tujhe bachaunga. tu jahaz ke andar jaana, tere saath teri patni, tere bete aur teri bahuyen bhi jaayen.+ 19  tu sabhi kism ke jeev-jantuon mein se nar-maada+ ka ek-ek joda jahaz mein le jaana+ taaki tere saath-saath woh bhi zinda bachein. 20  alag-alag jaati ke panchhiyon aur keet-patangon, alag-alag jaati ke paaltoo jaanvaron aur zameen par reingnevale alag-alag jaati ke jeev-jantuon mein se ek-ek joda tere paas jahaz mein aayega taaki woh zinda bachein.+ 21  tu apne liye aur jaanvaron ke liye har tarah ki khaane ki cheez ikattha karke jahaz ke andar le jaana.”+ 22  nooh ne har kaam vaisa hi kiya jaisa parmeshvar ne use aagya di thi. use jaisa bataya gaya tha, usne theek vaisa hi kiya.+

kai footnote

parmeshvar ke swargdooton ke liye istemal honevala ibrani muhavra.
ya shaayad, “kyonki woh apne shareer ki ichhaon ke mutabik kaam karta hai.”
shaayad iska matlab hai, “giranevale,” yaani woh jo doosron ko girate hain. shabdavli dekhein.
ya “pachhtava.”
ya “uske dil ko thes pahunchi.”
ya “woh nirdosh tha.”
shaa., “baksa.” yah ek bade aaytakar bakse jaisa jalpot tha. maana jaata hai ki is jalpot ke kone chaukor the aur nichla hissa sapat tha.
ya “daamar.”
yaani kareeb 438 fut lamba, 73 fut chauda aur 44 fut uncha.
ibrani mein sohar. kuch logon ka maanna hai ki sohar raushni ke liye banayi gayi khidki ya khula bhaag nahin balki ek chhat thi jismein ek haath lambee dhalan thi.
ya “jeevan-shakti.” shabdavli mein “ruakh; nafma” dekhein.