utpatti 8:1-22

  • jalpralay ka paani ghata (1-14)

    • faakhta baahar bheji gayi (8-12)

  • jahaz se baahar nikaalna (15-19)

  • dharti ke baare mein parmeshvar ka vaada (20-22)

8  magar parmeshvar ne nooh par aur uske saath jahaz mein jitne jangli aur paaltoo jaanvar the,+ un sab par dhyan diya* aur unki khaatir poori dharti par hava chalayi jisse jalpralay ka paani kam hone laga.  ab tak dharti par paani barasna ruk gaya tha* kyonki aakash mein paani ke sote aur paani ke faatak band kar diye gaye the.+  fir dharti par paani ka star lagatar ghatne laga aur 150 din ke beetne par paani kaafi kam ho gaya.  saatvein maheene ke 17vein din, jahaz ararat ke pahadon par jaa thehra.  aur paani dasvein maheene tak lagatar ghatta gaya. dasvein maheene ke pehale din pahadon ki chotiyaan nazar aane lagin.+  fir 40 din baad nooh ne woh khidki+ kholi jo usne jahaz mein banayi thi  aur ek kauve ko baahar chhoda. woh baahar udta aur vaapas jahaz mein laut aata tha. kauva tab tak aisa karta raha jab tak ki dharti par paani sookh na gaya.  baad mein nooh ne ek faakhta baahar chhodi taaki dekhe ki zameen par paani kam hua hai ya nahin.  magar dharti par ab bhi chaaron taraf paani tha+ aur faakhte ko kahin panja tekne ki* bhi jagah nahin mili. woh vaapas nooh ke paas laut aayi aur nooh ne haath badhakar use jahaz ke andar le liya. 10  nooh ne saat din aur intazar kiya aur ek baar fir faakhte ko jahaz ke baahar chhoda. 11  shaam ko faakhta laut aayi aur nooh ne dekha ki uski chonch mein jaitoon ki ek komal patti hai! isse nooh jaan gaya ki dharti par paani kam ho gaya hai.+ 12  usne saat din aur intazar kiya. iske baad usne faakhte ko fir se baahar chhoda. magar is baar woh nooh ke paas lautkar nahin aayi. 13  nooh ki zindagi ke 601 saal+ ke pehale maheene ke pehale din tak, dharti par paani lagbhag sookh gaya tha. jab nooh ne jahaz ki chhat kholi to usne dekha ki zameen sookhne lagi hai. 14  doosre maheene ke 27vein din tak dharti poori tarah sookh gayi thi. 15  ab parmeshvar ne nooh se kaha, 16  “tu apni patni, apne beton aur apni bahuon ko lekar jahaz se baahar nikaal aa.+ 17  jahaz mein tere saath jitne bhi jeev-jantu hain,+ har tarah ke jaanvar, udnevale jeev aur dharti par reingnevale jantu, sabko baahar le aa taaki woh foolein-falein aur dharti par unki ginti badh jaaye.”+ 18  tab nooh apni patni, beton+ aur bahuon ko lekar jahaz se baahar nikaal aaya. 19  aur jahaz mein jitne bhi jeev-jantu the, udnevale jeev, reingnevale jantu aur doosre jaanvar, sab apne-apne jhund ke saath baahar aa gaye.+ 20  fir nooh ne yahova ke liye ek vedi banayi+ aur us par kuch shuddh jaanvaron aur kuch shuddh panchhiyon+ ki hom-bali chadhayi.+ 21  yahova in balidanon ki sugandh paakaar khush hua. isliye yahova ne apne man mein kaha, “ab main fir kabhi insan ki vajah se zameen ko shaap nahin doonga,+ kyonki bachpan se insan ke man ka jhukav burai ki taraf hota hai.+ aur main fir kabhi dharti par rehnevale sabhi jeevon ka naash nahin karoonga, jaisa mainne abhi kiya hai.+ 22  ab se dharti par din aur raat, thand aur garmi, boaaee aur katai, sardiyon aur garmiyon ka silsila chalta rahega, kabhi band nahin hoga.”+

kai footnote

shaa., “sabko yaad kiya.”
ya “rok diya gaya tha.”
ya “apne pair ke tale tekne ke liye koi.”