yashayah 26:1-21

  • bharose aur uddhaar ka geet (1-21)

    • yaah yahova sada kaayam rehnevali chattan (4)

    • dharti ke log neki seekheinge (9)

    • ‘tere jo mar gaye hain utheinge’ (19)

    • andarvale kamre mein jaakaar chhip jaao (20)

26  us din yahooda desh mein yah geet gaaya jaayega:+ “hamara shehar bahot mazboot hai.+ jo uddhaar parmeshvar dilata hai,woh iski sheharpanah aur suraksha ki dhalan hai.+   iske faatak kholo+ ki nek raashtra andar aa sake,woh raashtra jo apne kaamon mein vishvasyogya hai.   tu unhein salamat rakhega jo poori tarah tujh par nirbhar hain,*tu pal-pal unhein shaanti dega,+kyonki woh tujh par bharosa rakhte hain.+   hamesha yahova par bharosa rakho,+kyonki yaah* yahova sada kaayam rehnevali chattan hai.+   jo nagri unchai par khadi ghamand se itra rahi thi, parmeshvar ne uska guroor tod diya,use neeche gira diya,use zameen par dhool mein gira diya.   woh pairon tale raundi jaayegi,deen-dukhi aur sataye huye log use kuchal deinge.”   nek jan ki raah, seedhai ki raah* hoti hai. hey parmeshvar, tu seedha-sachcha hai,isliye tu nek jan ki raah ko samtal karega.   hey yahova, hamne tujh par aas lagayi haiki hum tere nyay ki raah par chal sakein. tere liye aur tere naam ke liye* hum tadap uthte hain.   raat ko mera rom-rom tere liye tarasta hai,mera man tujhe dhoondhta firta hai.+jab tu dharti ka nyay karta hai,to log seekhte hain ki neki kya hoti hai.+ 10  lekin agar dusht par daya bhi ki jaaye,tab bhi woh neki karna nahin seekhega,+ seedhai ke desh mein bhi woh dusht kaam karega+aur yahova ka gaurav nahin dekh paayega.+ 11  hey yahova, tera haath un par utha hua hai, fir bhi woh nahin dekhte.+ woh yah dekhkar sharminda honge ki tujhe apne logon ke liye kaisi dhun hai,haan, teri yahi aag tere dushmanon ko bhasm kar degi. 12  hey yahova, tu hamein shaanti dega,+kyonki hum jo kuch kar paaye,teri vajah se kar paaye. 13  hey hamare parmeshvar yahova, tere alava hum par doosre maalikon ne bhi raaj kiya,+magar hum sirf tere naam ki taareef kareinge.+ 14  woh to mar gaye hain aur fir zinda nahin honge,kabraa mein bejan pade hain, woh nahin utheinge,+ toone unke khilaf kadam jo uthaya tha,unhein naash karne, unka naamo-nishan mitane ki jo thaani thi. 15  hey yahova, toone raashtra ke logon ki ginti badhayi hai,haan, toone unki ginti badhayi hai, toone apni mahima ki hai,+raashtra ki sarhadein chaaron taraf failayi hain.+ 16  hey yahova, dukh mein woh teri taraf mude,jab toone unhein sudhaarne ke liye saza di, to dabi aavaz mein unhonne prarthna ki,tere saamne apna dil kholkar rakh diya.+ 17  hey yahova, teri vajah se hamara yah haal hai,hum us garbhvati ke jaise ho gaye hain, jise prasav-peeda uthi haiaur jo dard se tadap rahi hai, cheekh rahi hai. 18  bhale hi hum garbhvati ke samaan the,hamein prasav-peeda bhi uthi,magar hamne sirf hava ko janm diya. hum desh ko bacha nahin paaye,use aabad karne ke liye koi paida nahin hua. 19  parmeshvar kehta hai, “tere jo log mar gaye hain, woh uth khade honge,mere logon ki laashon* mein jaan aa jaayegi.+ tum jo mitti mein jaa base ho,+ jaago! khushi se jayjaykar karo! teri os subah ki os* jaisi hai! kabraa mein pade bejan logon ko dharti lauta degi ki woh zinda kiye jaayen. 20  hey mere logo, apne-apne andarvale kamre mein jaaoaur darvaza band kar lo.+ thodi der ke liye chhip jaao,jab tak ki meri jaljalahat shaant nahin ho jaati.+ 21  dekho! main yahova apni jagah se aa raha hoonki us desh ke nivasiyon se unke gunahon ka hisab loon.desh mein jitna khoon bahaya gaya, woh khulkar saamne aayega,vahaan maare gaye logon ko nahin chhipaya jaayega.”

kai footnote

ya shaayad, “jinka man hilaya nahin jaa sakta.”
“yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
ya “samtal.”
yaani parmeshvar aur uske naam ko yaad karne, uska ailan karne ke liye.
shaa., “mere murde.”
ya shaayad, “jadi-bootiyon (gulkher) par padi os.”