yoel 1:1-20
1 yahova ka yah sandesh patooel ke bete yoel* ke paas pahuncha:
2 “pradhano, suno, desh* ke sabhi nivasiyo, dhyan se suno.
kya aisi koi baat tumhare dinon mein hui haiya tumhare purkhon ke zamane mein hui?+
3 is baare mein apne beton ko batao,tumhare bete apne beton ko batayenaur unke bete agli peedhi ko batayen.
4 jo kuch kutarnevali tiddi se bacha use dalvali tiddi ne khaa liya,+jo kuch dalvali tiddi se bacha use bin pankhonvali tiddi ne khaa liyaaur jo kuch bin pankhonvali tiddi se bacha use bhookhi tiddi ne khaa liya.+
5 piyakkado,+ jaago aur ro-o!
daakh-madira peenevalo, tum sab zor-zor se ro-o,kyonki tumhare munh se meethi daakh-madira chhin gayi hai.+
6 mere desh par ek taakatvar raashtra ne hamla kar diya hai jiske log beshumar hain.+
uske daant aur jabde sher ke jaise hain.+
7 usne meri angoor ki bel tahas-nahas kar di haiaur mere anjeer ke ped ka sirf thoonth chhoda hai,unki poori chhaal chheelkar yahaan-vahaan feink di hai,unki tahniyaan safed ho gayi hain.
8 tum zor-zor se ro-o,jaise ek kunvari* apne doolhe* ki maut par taat pehne roti hai,
9 yahova ke bhavan mein anaj ka chadhava+ aur argh+ ka aana band ho gaya hai,yahova ki seva karnevale yaajak dukh mana rahe hain.
10 khet ujaad diya gaya hai, zameen maatam mana rahi hai,+anaj naash kar diya gaya hai, nayi daakh-madira sookh gayi hai, tel khatm ho gaya hai.+
11 kisan maayoos hain, angooron ke baagon ke maali zor se ro rahe hain,kyonki gehoon aur jau nasht ho gaye hain,khet ki fasal barbad ho gayi hai.
12 angoor ki bel sookh gayi hai,anjeer ka ped murjha gaya hai.
anar, khajoor, seb, maidan ke saare ped sookh gaye hain.+
logon ki khushi apman mein badal gayi hai.
13 yaajko, taat odhkar maatam manao,*vedi ke paas seva karnevalo,+ zor-zor se ro-o.
mere parmeshvar ke sevko, aao aur taat odhkar raat bitao,kyonki tumhare parmeshvar ke bhavan mein anaj ka chadhava+ aur argh+ ka aana rok diya gaya hai.
14 upvas ka ailan karo, ek pavitra sabha bulao.+
apne parmeshvar yahova ke bhavan mein mukhiyaon aur desh ke sabhi nivasiyon ko ikattha karo+
aur madad ke liye yahova ko pukaro.
15 haay! woh din aa raha hai,
yahova ka din kareeb hai,+woh din sarvashaktiman ki or se naash laayega!
16 hamse khaana chheen liya gaya hai,hamare parmeshvar ke bhavan se khushiyaan aur jashna chheen liye gaye hain.
17 belche ke neeche pade beej* sookh gaye hain.
godam soone pade hain.
bhandar dhaa diye gaye hain kyonki fasal maari gayi hai.
18 maveshi bhi karah rahe hain!
gaay-bail maare-maare fir rahe hain kyonki koi charagah nahin hai!
bhedon ke jhund saza bhugat rahe hain.
19 hey yahova, main tujhi ko pukaroonga,+kyonki aag ne veerane ke charagah bhasm kar diye hain,lapton ne maidan ke saare ped jala diye hain.
20 jangli jaanvar bhi tujh par aas lagaye huye hain,kyonki nadiyaan sookh gayi hainaur aag ne veerane ke charagah bhasm kar diye hain.”
kai footnote
^ matlab “yahova parmeshvar hai.”
^ ya “dharti.”
^ ya “javan aurat.”
^ ya “pati.”
^ ya “chhaati peeto.”
^ ya shaayad, “sookhe anjeer.”