yona 1:1-17
1 yahova ka yah sandesh amittai ke bete yona*+ ke paas pahuncha:
2 “jaa! us bade shehar neenve ko jaa+ aur use saza suna. kyonki main uski dushtata ko andekha nahin kar sakta.”
3 lekin yona, yahova se door tarsheesh ki taraf bhaaga. woh yaafa tak gaya aur vahaan use ek jahaz mila jo tarsheesh jaa raha tha. woh kiraya dekar jahaz par chadh gaya aur baaki logon ke saath tarsheesh ke liye ravana hua ki yahova se door chala jaaye.
4 tab yahova ne samundar mein ek zabardast aandhi chalayi. aisa bhayankar toofan utha ki jahaz tootne par tha.
5 naavik bahot dar gaye aur apne-apne devta ko pukarne lage. jahaz ko halka karne ke liye woh saaman utha-uthakar samundar mein feinkne lage.+ lekin yona jahaz ke nichle hisse mein gehri nind soya hua tha.
6 jahaz ka kaptan yona ke paas aaya aur kehne laga, “aise vakt mein tu so raha hai? uth, apne devta ko pukar! kya pata sachcha parmeshvar hamari sun le aur hum mitne se bach jaayen.”+
7 fir woh ek-doosre se kehne lage, “aao, hum chitthiyaan daalkar+ pata lagayen ki yah vipatti kiski vajah se aayi hai.” unhonne chitthiyaan daali aur chitthi yona ke naam nikli.+
8 woh yona se poochhne lage, “meharbani karke hamein bata ki is vipatti ke liye kaun zimmedar hai? tu kya kaam karta hai? kahaan se aaya hai? tu kis desh ka rehnevala hai aur kis jaati se hai?”
9 usne kaha, “main ek ibri hoon. aur main swarg ke parmeshvar yahova ki upasna karta* hoon, vahi parmeshvar jisne samundar aur dharti ko banaya hai.”
10 yah sunkar woh aadmi aur bhi dar gaye aur unhonne yona se poochha, “toone aisa kyon kiya?” (naavikon ko pata chala ki yona, yahova se door bhaag raha hai. yah baat khud yona ne unhein batayi thi.)
11 samundar mein toofan ka kehar badhta hi jaa raha tha. un aadmiyon ne yona se poochha, “bata, hum tere saath kya karein ki samundar shaant ho jaaye?”
12 yona ne kaha, “mujhe uthakar samundar mein feink do, tab samundar shaant ho jaayega. main jaanta hoon, yah bhayankar toofan meri vajah se tum par aaya hai.”
13 fir bhi naavik zor-zor se chappoo chalane lage ki kisi tarah jahaz ko kinare laga dein. magar woh kaamyab nahin huye kyonki toofan aur zor pakadne laga.
14 tab unhonne yahova ko pukarkar kaha, “hey yahova, daya kar! is aadmi ki vajah se hamara naash mat kar. na hamein nirdosh ke khoon ka doshi thehra kyonki hey yahova, tu vahi kar raha hai jo tu chahta hai.”
15 tab unhonne yona ko uthakar samundar mein feink diya aur toofan tham gaya, samundar shaant ho gaya.
16 yah dekhkar un aadmiyon par yahova ka dar chhaa gaya+ aur unhonne yahova ko balidan chadhaya aur mannatein maanin.
17 tab yahova ne ek badi machhli bheji ki woh yona ko nigal jaaye. aur yona teen din aur teen raat machhli ke pet mein raha.+