yuhanna ke mutabik khushkhabri 4:1-54

  • yeeshu aur saamri aurat (1-38)

    • parmeshvar ki upasna “pavitra shakti aur sachchai se” karna (23, 24)

  • kai saamriyon ne yeeshu ka yakeen kiya (39-42)

  • yeeshu ne adhikari ke bete ko theek kiya (43-54)

4  jab prabhu ko pata chala ki fareesiyon ne yah baat suni hai ki yeeshu, yuhanna se zyada chele bana raha hai aur unhein baptisma de raha hai +  (haalanki yeeshu khud baptisma nahin deta tha balki uske chele dete the),  to woh yahoodiya chhodkar fir se galeel chala gaya.  magar use saamriya se hokar jaana zaroori tha.  raaste mein woh saamriya ke sookhar naam ke ek shehar pahuncha. yah shehar us zameen ke paas tha jo yakub ne apne bete yoosuf ko di thi.+  darasal yakub ka kuaan* vahin tha+ aur yeeshu safar se thaka-maanda kuyen ke paas baitha tha. yah din ka kareeb chhatha ghanta* tha.  vahaan saamriya ki ek aurat paani bharne aayi. tab yeeshu ne usse kaha, “mujhe paani pila.”  (uske chele khaana khareedne shehar gaye huye the.)  us saamri aurat ne usse kaha, “tu ek yahoodi hokar mujhse paani kaise maang raha hai, main to ek saamri aurat hoon?” (kyonki yahoodi, saamriyon se koi naata nahin rakhte.)+ 10  yeeshu ne kaha, “agar tu yah jaanti ki parmeshvar ka muft vardan kya hai+ aur yah kaun hai jo tujhse kah raha hai ki ‘mujhe paani pila,’ to tu usse paani maangti aur woh tujhe jeevan denevala paani deta.”+ 11  tab aurat ne kaha, “tere paas to paani nikaalne ke liye koi bartan tak nahin hai aur kuaan bhi gehra hai. fir tere paas yah jeevan denevala paani kahaan se aaya? 12  kya tu hamare purkhe yakub se bhi mahan hai jisne hamein yah kuaan diya tha aur isi se usne, uske beton aur maveshiyon ne bhi peeya tha?” 13  yeeshu ne javab diya, “har koi jo yah paani peeta hai woh fir pyasa hoga. 14  magar jo koi woh paani peeyega, jo main use doonga woh fir kabhi pyasa nahin hoga.+ jo paani main use doonga woh uske andar paani ka ek sota ban jaayega aur hamesha ki zindagi dene ke liye umadta rahega.”+ 15  tab aurat ne kaha, “mujhe woh paani de taaki mujhe pyas na lage, na hi mujhe paani bharne ke liye baar-baar yahaan aana pade.” 16  usne aurat se kaha, “jaa aur apne pati ko lekar yahaan aa.” 17  aurat ne kaha, “mera koi pati nahin.” yeeshu ne usse kaha, “toone sahi kaha ki mera koi pati nahin. 18  kyonki tere paanch pati ho chuke hain aur ab tu jis aadmi ke saath rehti hai woh bhi tera pati nahin hai. toone bilkul sach kaha.” 19  tab aurat ne usse kaha, “prabhu, tu zaroor ek bhavishyavakta hai!+ 20  hamare purkhe is pahad par upasna karte the, magar tum log kehte ho ki yarooshalem woh jagah hai jahaan upasna ki jaani chahiye.”+ 21  yeeshu ne usse kaha, “mera yakeen kar, woh samay aa raha hai jab tum log na to is pahad par, na hi yarooshalem mein pita ki upasna karoge. 22  tum gyaan ke bina upasna karte ho+ magar hum gyaan ke saath upasna karte hain kyonki uddhaar ki shurooat yahoodiyon se hoti hai.+ 23  magar woh samay aa raha hai aur abhi-bhi hai, jab sachche upasak pita ki upasna pavitra shakti aur sachchai se kareinge. darasal, pita aise logon ko dhoondh raha hai jo isi tarah uski upasna kareinge.+ 24  parmeshvar adrishya hai+ aur uski upasna karnevalon ko pavitra shakti aur sachchai se uski upasna karni chahiye.”+ 25  tab us aurat ne usse kaha, “main jaanti hoon ki maseeha aanevala hai jo abhishikt kehlata hai. jab woh aayega to hamein saari baatein khulkar samjhayega.” 26  yeeshu ne usse kaha, “main jo tujhse baat kar raha hoon, vahi hoon.”+ 27  tabhi uske chele laut aaye aur woh yah dekhkar hairan reh gaye ki woh ek aurat se baat kar raha hai. fir bhi kisi ne usse nahin poochha, “tujhe kya chahiye?” ya “tu is aurat se kyon baat kar raha hai?” 28  tab woh aurat apna paani ka ghada vahin chhodkar shehar chali gayi aur logon se kehne lagi, 29  “aao mere saath chalo, us aadmi ko dekho jisne woh sab bata diya jo mainne kiya hai. kahin woh maseeh to nahin?” 30  log shehar se nikaalkar uske paas aane lage. 31  is dauran chele usse baar-baar kehte rahe, “guru,+ khaana khaa le.” 32  magar usne unse kaha, “mere paas aisa khaana hai jiske baare mein tum nahin jaante.” 33  tab chele ek-doosre se kehne lage, “koi uske khaane ke liye kuch le to nahin aaya tha?” 34  yeeshu ne unse kaha, “mera khaana yah hai ki main apne bhejnevale ki marzee poori karoon+ aur uska kaam poora karoon.+ 35  tum kehte ho na ki fasal ki katai ke liye abhi chaar maheene baaki hain? dekho! main tumse kehta hoon, apni aankhein uthao aur kheton par nazar daalo, woh katai ke liye pak chuke hain.+ 36  katai karnevala abhi se mazdoori paa raha hai aur hamesha ki zindagi ke liye fasal bator raha hai taaki bonevala aur kaatnevala donon milkar khushiyaan manayen.+ 37  is maamle mein vaakai yah kahavat sach hai ki bota koi aur hai, kaatta koi aur. 38  mainne tumhein woh fasal kaatne bheja jiske liye tumne mehnat nahin ki. doosron ne kadi mehnat ki aur tum unki mehnat ka fal paa rahe ho.” 39  us shehar ke bahot-se saamriyon ne us par vishvas kiya kyonki us aurat ne yah kehte huye gavahi di thi, “usne woh sab bata diya jo mainne kiya hai.”+ 40  isliye jab saamriya ke log yeeshu ke paas aaye, to usse guzarish karne lage ki woh unke yahaan thahre aur woh unke yahaan do din thehra. 41  nateeja yah hua ki aur bhi kai logon ne uski baatein sunkar yakeen kiya 42  aur woh aurat se kehne lage, “ab hum sirf teri baat sunnae ki vajah se nahin balki isliye yakeen karte hain kyonki hamne khud sun liya hai aur jaan liya hai ki yah aadmi sachmuch duniya ka uddharkarta hai.”+ 43  do din baad yeeshu woh jagah chhodkar galeel ke liye nikaal pada. 44  magar usne khud kaha tha ki apne ilake mein ek bhavishyavakta ka aadar nahin hota.+ 45  jab woh galeel pahuncha to vahaan ke logon ne uska swagat kiya kyonki unhonne woh saare kaam dekhe the jo usne tyohar ke vakt yarooshalem mein kiye the.+ woh log bhi tyohar ke liye vahaan gaye the.+ 46  fir yeeshu galeel ke kaana mein aaya, jahaan usne paani ko daakh-madira mein badla tha.+ kafarnahoom mein raja ka ek adhikari tha, jiska beta beemar tha. 47  jab is aadmi ne suna ki yeeshu yahoodiya se galeel aa gaya hai, to woh uske paas gaya aur usse binti karne laga ki woh aaye aur uske bete ko theek kare kyonki uska beta marnevala tha. 48  lekin yeeshu ne usse kaha, “jab tak tum log chinh aur chamatkar na dekh lo, tum hargiz yakeen nahin karoge.”+ 49   raja ke adhikari ne usse kaha, “prabhu, isse pehale ki mera bachcha mar jaaye, mere saath chal.” 50  yeeshu ne usse kaha, “jaa, tera beta zinda hai.”+ us aadmi ne yeeshu ki baat par yakeen kiya aur apne raaste chal diya. 51  jab woh raaste mein hi tha, to uske daas usse mile aur unhonne kaha ki uska ladka theek ho gaya hai. 52  usne unse poochha ki ladka kis vakt theek hua tha. unhonne kaha, “kal saatvein ghante* mein uska bukhar utar gaya.” 53  tab pita jaan gaya ki yah vahi ghadi thi jab yeeshu ne usse kaha tha, “tera beta zinda hai.”+ aur usne aur uske poore gharane ne yeeshu par yakeen kiya. 54  yah yeeshu ka doosra chamatkar tha+ jo usne yahoodiya se galeel aane par kiya tha.

kai footnote

ya “paani ka sota.”
yaani dopahar kareeb 12 baje.
yaani dopahar kareeb 1 baje.