is jaankari ko chhod dein

duniya ka ant kab hoga?

duniya ka ant kab hoga?

shastra se javab

duniya ka ant kab  hoga, yah jaanne ke liye hamein pehle yah samajhna hoga ki bible mein “duniya” shabd ka istemal kaise kiya gaya hai. yoonani shabd kosmos  ka anuvad hindi mein aksar “duniya” kiya jaata hai, jiska matlab hai maanavjati. ismein khaaskar woh log shaamil hain jo parmeshvar aur uski marzee ke mutabik nahin chalte. (yuhanna 15:18, 19; 2 patras 2:5) lekin kabhi-kabhar kosmos  ka matlab hota hai, duniya ki woh vyavastha jo insanon ne khadi ki hai, jaise vyaparik, raajnaitik aur dhaarmik vyavastha.—1 kurinthiyon 7:31; 1 yuhanna 2:15, 16. *

“duniya ke ant” ka kya matlab hai?

bible ke kai anuvadon mein “jagat ka ant” aur “sansar ka ant” in shabdon ka istemal kiya gaya hai. in shabdon ka anuvad doosri kuch bibalon mein “duniya ki vyavastha ka aakhiri vakt” ya ‘yug ka ant’ bhi kiya gaya hai. (matti 24:3; a new hindi translation) in shabdon ka matlab prithvi ka ya poori maanavjati ka ant nahin hai, balki is duniya ki vyavastha ka ant hai.—1 yuhanna 2:17.

bible batati hai ki “kukarmi log kaat daale jaayenge” taaki achhe log is dharti par khushi se ji sakein. (bhajan 37:9-11) yah naash “maha-sankat” ke us samay hoga, jab har-magidon ka yuddh shuroo hoga.—matti 24:21, 22; prakashitvakya 16:14, 16.

is duniya ka ant kab hoga?

yeeshu ne kaha, “us din aur us vakt ke baare mein koi nahin jaanta, na swarg ke doot, na beta, lekin sirf pita jaanta hai.” (matti 24:36, 42) usne yah bhi bataya ki ant achanak hoga, us ghadi jab kisi ne socha bhi na hoga.—matti 24:44.

haalaanki hum yah to nahin jaan sakte ki is duniya ka ant theek kis din aur kis vakt aayega, lekin yeeshu ne hamein “nishani” ke taur par kuch ghatnaon ke baare mein bataya, jo ek-saath hotin aur yah bhi ki in ghatnaon ke turant baad ant aayega. (matti 24:3, 7-14) bible mein in ghatnaon ke hone ke samay ko “ant samay,” “aakhiri dinon” aur “antim dinon” kaha gaya hai.—daaniyel 12:4; 2 timuthiyus 3:1-5; hindi—o.v.

duniya ke ant ke baad kya kuch bachega?

ji haan. prithvi tab bhi rahegi kyonki bible mein likha hai ki woh kabhi khatm nahin hogi. (bhajan 104:5) prithvi insanon se bhari hogi jaise bible mein vaada kiya gaya hai, “dharmi log prithvi ke adhikari honge, aur us mein sada base raheinge.” (bhajan 37:29) parmeshvar ne shuroo se jaise haalaat chahe the, woh dharti par vaise hi haalaat laayega:

^ para. 1 kuch bibalon mein yoonani shabd ai-on ka anuvad “duniya” kiya jaata hai. jab bhi ai-on ka anuvad “duniya” kiya gaya hai, to vahaan ai-on ka matlab bhi kosmos jaisa hi hota hai, yaani duniya ki vyavastha.