kya sabhi dharm ek-jaise hain? kya ye sabhi parmeshvar ko manzoor hain?
shastra se javab
nahin, sabhi dharm ek-jaise nahin hain. shastra mein aise kai dharmon ka zikra kiya gaya hai jo parmeshvar ko manzoor nahin hain. dekha jaaye to aam taur par ye dharm do kism ke hote hain.
pehli kism: jhoothe ishvaron ki pooja karte hain
pavitra shastra mein jhoothe ishvaron ki pooja ke liye ye shabd istemal kiye gaye hain: “nikammi,” “vyarth” aur “nishfal.” (yirmayah 10:3-5; 16:19, 20) yahova * parmeshvar ne purane zamane mein israel raashtra ko aagya di thi, “tu mujhe chhod doosron ko ishvar karke na maanna.” (nirgaman 20:3, 23; 23:24) jab israeliyon ne doosre ishvaron ki pooja ki tab ‘yahova ka kop bhadak utha.’—ginti 25:3; laivyavyavastha 20:2; nyayiyon 2:13, 14.
parmeshvar badla nahin hai. aaj jinhein “ishvar kaha jaata hai” unki pooja ke baare mein woh vaisa hi mehsoos karta hai. (1 kurinthiyon 8:5, 6; galatiyon 4:8) jo log uski upasna karna chahte hain, unhein woh aagya deta hai ki woh jhoothe dharm ke maannevalon se naata tod lein. woh kehta hai, “unke beech mein se nikal aao aur khud ko unse alag karo.” (2 kurinthiyon 6:14-17) zara sochiye: agar sabhi dharm ek-jaise hain aur parmeshvar ko manzoor hain, to fir parmeshvar ne aisi aagya kyon di?
doosri kism: sachche parmeshvar ki upasna us tareeke se karte hain jo use manzoor nahin
kabhi-kabhi israeliyon ne aisi shikshaon aur reeti-rivazon ke mutabik parmeshvar ki upasna ki jo darasal jhoothe dharmon se the. lekin yahova ne sachchi upasna mein jhoothe dharmon ki is milavat ko thukra diya. (nirgaman 32:8; vyavasthavivran 12:2-4) yeeshu ne apne dinon ke dharmguruon ko isliye dhikkara kyonki parmeshvar ki upasna karne ka unka tareeka galat tha. woh dharmi hone ka sirf dikhava karte the, lekin asal mein unhonne ‘moosa ke kaanoon ki zyada ahmiyat rakhne vaali baaton ko, yaani nyay aur daya aur vishvasyogya hone ko darkinar kar diya tha.’—matti 23:23.
usi tarah aaj sirf vahi dharm parmeshvar ko manzoor hai jiski ninv sachchai par tiki hai. yah sachchai bible mein paayi jaati hai. (yuhanna 4:24; 17:17; 2 timuthiyus 3:16, 17) jin dharmon ki shikshayen bible se mel nahin khaatin, aise dharm darasal logon ko parmeshvar se door le jaate hain. logon ko lagta hai ki bible triek ki shiksha, amar aatma aur narak ki shiksha deti hai magar asal mein ye shikshayen woh log dete hain jo jhoothe ishvaron ki pooja karte hain. in shikshaon ko maannevalon ki upasna “bekar” hai kyonki woh parmeshvar ki maangon ki jagah dhaarmik paramparaon ko ahmiyat dete hain.—markus 7:7, 8.
parmeshvar ko upasna mein is tarah ke kapat se sakht nafrat hai. (titus 1:16) ek dharm logon ko parmeshvar ke kareeb tabhi laa sakta hai jab logon ki rozmarra zindagi par uska achha asar ho. misal ke liye, bible kehti hai, “agar koi aadmi khud ko parmeshvar ki upasna karnevala samajhta hai, magar apni zuban par lagam nahin lagata balki apne dil ko dhokhe mein rakhta hai, us insan ka upasna karna bekar hai. hamare parmeshvar aur pita ki nazar mein shuddh aur nishkalank upasna yah hai: anathon aur vidhvaon ki unki museebaton mein dekhbhal ki jaaye aur khud ko duniya se bedag rakha jaaye”. (yakub 1:26, 27) is tarah ki shuddh aur nishkapat upasna ke liye hindi—common language bible mein shabd “nirmal dharm” istemal kiya gaya hai.
^ para. 2 yahova sachche parmeshvar ka naam hai jaisa ki bible mein bataya gaya hai.